Hamdardi Ki Zara Bhi Zarurat Nahin Mujhe, Urdu Ghazal By Gul Faraz

Hamdardi Ki Zara Bhi Zarurat Nahin Mujhe is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Gul Faraz. Hamdardi Ki Zara Bhi Zarurat Nahin Mujhe comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Hamdardi Ki Zara Bhi Zarurat Nahin Mujhe on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہمدردی کی ذرا بھی ضرورت نہیں مجھے

گل فراز

ہمدردی کی ذرا بھی ضرورت نہیں مجھے

احساں کوئی اٹھانے کی عادت نہیں مجھے

ہاں لالچی ہوں اور زیادہ کی ہے ہوس

اتنے قلیل پر تو قناعت نہیں مجھے

درکار تھی جو چیز وہ نا پید ہو چکی

وافر وہی ہے جس کی ضرورت نہیں مجھے

سب کچھ بگاڑ کے ہی نہ رکھ دوں کسے خبر

اس کام میں ذرا بھی مہارت نہیں مجھے

وہ بات بس عمومی رویوں کے بارے تھی

تم سے وگرنہ کوئی شکایت نہیں مجھے

تم ہوتے ہو تو لگتا ہے سب کچھ بھرا بھرا

جیسے کسی بھی چیز کی قلت نہیں مجھے

اک رائے مع دلیل یہاں پیش کرنی ہے

مقصود ورنہ اپنی وکالت نہیں مجھے

آرام ہی میں اتنا میں مشغول ہوں کہ اب

ایسے فضول کاموں کی فرصت نہیں مجھے

اندر تو خیر دور کہ فی الحال ادھر کہیں

باہر بھی بیٹھنے کی اجازت نہیں مجھے

ہر کام کرتا ہوں بڑے آرام سے میں گلؔ

اور اس معاملے میں تو عجلت نہیں مجھے

گل فراز

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hamdardi Ki Zara Bhi Zarurat Nahin Mujhe

Gul Faraz

hamdardi ki zara bhi zarurat nahin mujhe
ehsan koi uThane ki aadat nahin mujhe

han lalchi hun aur ziyaada ki hai hawas
itne qalil par to qanaat nahin mujhe

darkar thi jo chiz wo na-paid ho chuki
wafir wahi hai jis ki zarurat nahin mujhe

sab kuchh bigaD ke hi na rakh dun kise KHabar
is kaam mein zara bhi mahaarat nahin mujhe

wo baat bas umumi rawayyon ke bare thi
tum se wagarna koi shikayat nahin mujhe

tum hote ho to lagta hai sab kuchh bhara bhara
jaise kisi bhi chiz ki qillat nahin mujhe

ek rae mae-dalil yahan pesh karni hai
maqsud warna apni wakalat nahin mujhe

aaram hi mein itna main mashghul hun ki ab
aise fuzul kaamon ki fursat nahin mujhe

andar to KHair dur ki filhaal idhar kahin
bahar bhi baiThne ki ijazat nahin mujhe

har kaam karta hun baDe aaram se main 'gul'
aur is muamle mein to ujlat nahin mujhe

(1975) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Hamdardi Ki Zara Bhi Zarurat Nahin Mujhe written by Gul Faraz at UrduPoint. Hamdardi Ki Zara Bhi Zarurat Nahin Mujhe is one of the masterpieces written by Gul Faraz. You can also find the complete poetry collection of Gul Faraz by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Gul Faraz' above.

Hamdardi Ki Zara Bhi Zarurat Nahin Mujhe is a widely read Urdu Ghazal. If you like Hamdardi Ki Zara Bhi Zarurat Nahin Mujhe, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.