Kaun Dekhega Zamane Inqilab-e-naz Ke, Urdu Ghazal By Gulzar Dehlvi

Kaun Dekhega Zamane Inqilab-e-naz Ke is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Gulzar Dehlvi. Kaun Dekhega Zamane Inqilab-e-naz Ke comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kaun Dekhega Zamane Inqilab-e-naz Ke on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کون دیکھے گا زمانے انقلاب ناز کے

گلزار دہلوی

کون دیکھے گا زمانے انقلاب ناز کے

بھول بیٹھے ہیں وہ وعدے عشق کے آغاز کے

ہوتے ہیں تیر ستم سر چاہنے والوں پہ اب

یہ نئے انداز دیکھے غمزہ و غماز کے

میرے آہ و نالے کو ظالم سمجھ ناداں نہ بن

ساز کے نغمے نہیں یہ ہیں شکست ساز کے

بال و پر اب تک بندھے ہیں ہوں مقید تا ہنوز

حکم صادر ہو چکے ہیں گو میری پرواز کے

عشق دیں حب وطن ذوق عمل پاس وفا

جوہر انسانیت ہیں یہ کسی دم ساز کے

اس خراب آباد کی تنظیم کچھ آساں نہ تھی

معجزے ہیں یہ مسیحا دم تیرے انداز کے

ساز ہستی تیری اک آواز سے تھا نغمہ کار

منتظر دیوانے دل ہیں دوسری آواز کے

چار کلیوں کے سہارے ہے گلستاں کا قیام

ظاہراً جو گل ہیں ورنہ خار ہیں اعجاز کے

گو غنیمت پنجۂ اغیار کے چھٹنا سہی

کیوں مگر ہم صید ہوں چشم زمانہ ساز کے

انقلاب اک اپنے حق میں اور بھی آنے کو ہے

یہ معانی ہیں حقیقت میں نوائے راز کے

ظلم پر تم ظلم ڈھاؤ ہم نہ کھینچیں آہ تک

واہ کیا کہئے تمہارے عشوہ و انداز کے

ہند میں قائم رہے دائم بہار بے خزاں

یہ دعا لب پر ہو ہر گلزارؔ کے دم ساز کے

گلزار دہلوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kaun Dekhega Zamane Inqilab-e-naz Ke

Gulzar Dehlvi

kaun dekhega zamane inqilab-e-naz ke
bhul baiThe hain wo wade ishq ke aaghaz ke

hote hain tir-e-sitam sar chahne walon pe ab
ye nae andaz dekhe ghamza-o-ghammaz ke

mere aah-o-nale ko zalim samajh nadan na ban
saz ke naghme nahin ye hain shikast-e-saz ke

baal-o-par ab tak bandhe hain hun muqayyad ta-hanuz
hukm sadir ho chuke hain go meri parwaz ke

ishq-e-din hubb-e-watan zauq-e-amal pas-e-wafa
jauhar-e-insaniyat hain ye kisi dam-saz ke

is KHarab-abaad ki tanzim kuchh aasan na thi
moajize hain ye masiha-dam tere andaz ke

saz-e-hasti teri ek aawaz se tha naghma-kar
muntazir diwane dil hain dusri aawaz ke

chaar kaliyon ke sahaare hai gulistan ka qayam
zahiran jo gul hain warna KHar hain eajaz ke

go ghanimat panja-e-aghyar ke chhuTna sahi
kyun magar hum said hon chashm-e-zamana-saz ke

inqalab ek apne haq mein aur bhi aane ko hai
ye maani hain haqiqat mein nawa-e-raaz ke

zulm par tum zulm Dhao hum na khinchen aah tak
wah kya kahiye tumhaare ishwa-o-andaz ke

hind mein qaem rahe daim bahaar-e-be-KHizan
ye dua lab par ho har 'gulzar' ke dam-saz ke

(797) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kaun Dekhega Zamane Inqilab-e-naz Ke written by Gulzar Dehlvi at UrduPoint. Kaun Dekhega Zamane Inqilab-e-naz Ke is one of the masterpieces written by Gulzar Dehlvi. You can also find the complete poetry collection of Gulzar Dehlvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Gulzar Dehlvi' above.

Kaun Dekhega Zamane Inqilab-e-naz Ke is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kaun Dekhega Zamane Inqilab-e-naz Ke, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.