Gunahgar Shair Key Be-gunah NazMein, Urdu Nazam By Hafeez Tabassum

Gunahgar Shair Key Be-gunah NazMein is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Hafeez Tabassum. Gunahgar Shair Key Be-gunah NazMein comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Gunahgar Shair Key Be-gunah NazMein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

گناہ گار شاعر کی بے گناہ نظمیں

حفیظ تبسم

کل میری دو نظمیں بازار گئیں

جو جڑواں بہنیں تھیں

مگر واپس نہیں لوٹیں

ان دنوں کرفیو کے باعث

کھلے عام گھومنا ممنوع تھا

لیکن میں نے دن کی رفتار سے تیز بھاگتے ہوئے

شہر کا چکر کاٹا

رات کے سائے کے ڈر سے

مسجدوں میں اعلان کروائے گئے

مگر دہشت کے بستر میں دبکے لوگ

کچھ نہیں جانتے

کس کی پھٹی ایڑیوں سے رستا خون

لکیریں کھینچ رہا ہے

آخر افسردگی سے دیوار میں لگا ٹی وی آن کیا

سپر مارکیٹ دھماکے سے اڑا دی گئی

میں بھاگتا جائے وقوع پہنچا مگر

پانی سے موت کے نشان

گٹر میں بہائے جا چکے تھے

اب بے یقینی کے سگریٹ پھونکتا

قبروں کے پاس بیٹھا ہوں

جہاں بم دھماکے میں مری روحیں دفن ہیں

مگر میری نظموں کی قبر کون سی ہے

کہ مٹی کے چہرے سے پہچان ممکن نہیں

اور میں

مرنے سے پہلے کتبہ لگانا چاہتا ہوں

یہاں گنہ گار شاعر کی بے گناہ نظمیں دفن ہیں

حفیظ تبسم

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Gunahgar Shair Key Be-gunah NazMein

Hafeez Tabassum

kal meri do nazmen bazar gain
jo juDwan bahnen thin
magar wapas nahin lauTin
in dinon curfew ke bais
khule-am ghumna mamnua tha
lekin main ne din ki raftar se tez bhagte hue
shahr ka chakkar kaTa
raat ke sae ke Dar se
masjidon mein elan karwae gae
magar dahshat ke bistar mein dubke log
kuchh nahin jaante
kis ki phaTi eDiyon se rista KHun
lakiren khinch raha hai

aaKHir afsurdagi se diwar mein laga T w on kiya
super-market dhamake se uDa di gai
main bhagta ja-e-waqua pahuncha magar
pani se maut ke nishan
gutter mein bahae ja chuke the

ab be-yaqini ke cigarette phunkta
qabron ke pas baiTha hun
jahan bam dhamake mein meri ruhen dafn hain
magar meri nazmon ki qabr kaun si hai
ki miTTi ke chehre se pahchan mumkin nahin
aur main
marne se pahle katba lagana chahta hun
yahan gunahgar shair ki be-gunah nazmen dafn hain

(1037) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Gunahgar Shair Key Be-gunah NazMein written by Hafeez Tabassum at UrduPoint. Gunahgar Shair Key Be-gunah NazMein is one of the masterpieces written by Hafeez Tabassum. You can also find the complete poetry collection of Hafeez Tabassum by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Hafeez Tabassum' above.

Gunahgar Shair Key Be-gunah NazMein is a widely read Urdu Nazam. If you like Gunahgar Shair Key Be-gunah NazMein, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.