Asr-e-jadeed Aaya BaDi Dhum-dham Se, Urdu Ghazal By Haidar Ali Jafri

Asr-e-jadeed Aaya BaDi Dhum-dham Se is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Haidar Ali Jafri. Asr-e-jadeed Aaya BaDi Dhum-dham Se comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Asr-e-jadeed Aaya BaDi Dhum-dham Se on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

عصر جدید آیا بڑی دھوم دھام سے

حیدر علی جعفری

عصر جدید آیا بڑی دھوم دھام سے

لیکن شکست کھا گیا پچھلے نظام سے

کرتا ہے کوئی ترک تعلق بھی اس طرح

محروم ہو گیا ہوں پیام و سلام سے

زردار کے سلام میں سبقت سبھی کی ہے

محروم مفلسی ہے جواب سلام سے

کس کی صدا فضاؤں میں گونجی ہے چار سو

کس نے مجھے پکارا ہے بچپن کے نام سے

بے چینیوں میں رات گزرتی ہے اس طرح

آسیب کوئی گھیر لے جیسے کہ شام سے

اب با شعور لوگ بھی یہ سوچنے لگے

رکھنا ہے ہم کو کام فقط اپنے کام سے

سفاکیاں بڑھیں تو درندہ صفت بنا

انسان گرا ہے آدمیت کے مقام سے

بارش نہیں ہوئی تو مجھے فائدہ ہوا

محفوظ ہے مکان مرا انہدام سے

ہلکی ہنسی نے فکر کو ضو بار کر دیا

پھوٹی کرن کہ طرح لب تشنہ کام سے

یہ تو ہے فضل رب کہ ترنم ہوا نصیب

لیکن بیاض خالی ہے خود کے کلام سے

حیدر علی جعفری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Asr-e-jadeed Aaya BaDi Dhum-dham Se

Haidar Ali Jafri

asr-e-jadeed aaya baDi dhum-dham se
lekin shikast kha gaya pichhle nizam se

karta hai koi tark-e-talluq bhi is tarah
mahrum ho gaya hun payam-o-salam se

zardar ke salam mein sabqat sabhi ki hai
mahrum muflisi hai jawab-e-salam se

kis ki sada fazaon mein gunji hai chaar-su
kis ne mujhe pukara hai bachpan ke nam se

bechainiyon mein raat guzarti hai is tarah
aaseb koi gher le jaise ki sham se

ab ba-shuur log bhi ye sochne lage
rakhna hai hum ko kaam faqat apne kaam se

saffakiyan baDhin to darinda-sifat bana
insan gira hai aadamiyyat ke maqam se

barish nahin hui to mujhe faeda hua
mahfuz hai makan mera inhidam se

halki hansi ne fikr ko zau-bar kar diya
phuTi kiran ki tarah lab-e-tashna-kaam se

ye to hai fazl-e-rab ki tarannum hua nasib
lekin bayaz KHali hai KHud ke kalam se

(845) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Asr-e-jadeed Aaya BaDi Dhum-dham Se written by Haidar Ali Jafri at UrduPoint. Asr-e-jadeed Aaya BaDi Dhum-dham Se is one of the masterpieces written by Haidar Ali Jafri. You can also find the complete poetry collection of Haidar Ali Jafri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Haidar Ali Jafri' above.

Asr-e-jadeed Aaya BaDi Dhum-dham Se is a widely read Urdu Ghazal. If you like Asr-e-jadeed Aaya BaDi Dhum-dham Se, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.