Be-ruKHi Ne Uski Mujhko Kar Diya Mahfil Se Dur, Urdu Ghazal By Haidar Husain Fiza Lucknowi

Be-ruKHi Ne Uski Mujhko Kar Diya Mahfil Se Dur is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Haidar Husain Fiza Lucknowi. Be-ruKHi Ne Uski Mujhko Kar Diya Mahfil Se Dur comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Be-ruKHi Ne Uski Mujhko Kar Diya Mahfil Se Dur on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

بے رخی نے اس کی مجھ کو کر دیا محفل سے دور

حیدر حسین فضا لکھنؤی

بے رخی نے اس کی مجھ کو کر دیا محفل سے دور

وہ ہمارے دل میں ہے اور ہم ہیں اس کے دل سے دور

امڈے طوفانوں میں بھی ہے کشتی الفت رواں

ہم کبھی نزدیک ہوتے ہیں کبھی ساحل سے دور

عشق کی وادی کو طے کرنا کوئی آساں نہیں

گامزن پیہم رہے پھر بھی رہے منزل سے دور

ٹکڑے ٹکڑے کر کے رکھ دیتے ہیں خنجر کی طرح

دل جگر اے لوگو رکھنا ابروئے قاتل سے دور

بحر الفت کا کنارا اہل دل ناپید ہے

جس کو ساحل سمجھے ہو وہ موج ہے ساحل سے دور

نت نئی دشواریاں راہ وفا میں سہہ کے ہم

چلتے چلتے تھک گئے جب پھر نہ تھے منزل سے دور

کہتا ہے بے عقل ناصح عشق کو دیوانگی

عشق کے دیوانو رہنا نام کے عاقل سے دور

رقص بسمل کا تماشا تو کیا ہوتا حضور

کر کے بسمل ہو گئے کس واسطے بسمل سے دور

وہ محبت کرنے والے دل جو ملتے ہیں کبھی

لاکھ دنیا چاہے ہوتے ہیں بڑی مشکل سے دور

گر مسیحا ہوتے کرتے زخم دل کا کچھ علاج

اور زخمی کر کے وہ تو ہو گئے گھائل سے دور

آستان یار پر پہونچا طلب جس دل میں تھی

دامن محبوب رہتا ہے سدا غافل سے دور

دل فضاؔ کا بجھ گیا اندھیر دنیا ہو گئی

ہو گیا جس روز سے وہ اس مہ کامل سے دور

حیدر حسین فضا لکھنؤی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Be-ruKHi Ne Uski Mujhko Kar Diya Mahfil Se Dur

Haidar Husain Fiza Lucknowi

be-ruKHi ne us ki mujh ko kar diya mahfil se dur
wo hamare dil mein hai aur hum hain us ke dil se dur

umDe tufanon mein bhi hai kashti-e-ulfat rawan
hum kabhi nazdik hote hain kabhi sahil se dur

ishq ki wadi ko tai karna koi aasan nahin
gamzan paiham rahe phir bhi rahe manzil se dur

TukDe TukDe kar ke rakh dete hain KHanjar ki tarah
dil jigar ai logo rakhna abru-e-qatil se dur

bahr-e-ulfat ka kinara ahl-e-dil napaid hai
jis ko sahil samjhe ho wo mauj hai sahil se dur

nit-nai dushwariyan rah-e-wafa mein sah ke hum
chalte chalte thak gae jab phir na the manzil se dur

kahta hai be-aql naseh ishq ko diwangi
ishq ke diwano rahna nam ke aaqil se dur

raqs-e-bismil ka tamasha to kiya hota huzur
kar ke bismil ho gae kis waste bismil se dur

wo mohabbat karne wale dil jo milte hain kabhi
lakh duniya chahe hote hain baDi mushkil se dur

gar masiha hote karte zaKHm-e-dil ka kuchh ilaj
aur zaKHmi kar ke wo to ho gae ghail se dur

aastan-e-yar par pahuncha talab jis dil mein thi
daman-e-mahbub rahta hai sada ghafil se dur

dil 'faza' ka bujh gaya andher duniya ho gai
ho gaya jis roz se wo us mah-e-kaamil se dur

(661) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Be-ruKHi Ne Uski Mujhko Kar Diya Mahfil Se Dur written by Haidar Husain Fiza Lucknowi at UrduPoint. Be-ruKHi Ne Uski Mujhko Kar Diya Mahfil Se Dur is one of the masterpieces written by Haidar Husain Fiza Lucknowi. You can also find the complete poetry collection of Haidar Husain Fiza Lucknowi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Haidar Husain Fiza Lucknowi' above.

Be-ruKHi Ne Uski Mujhko Kar Diya Mahfil Se Dur is a widely read Urdu Ghazal. If you like Be-ruKHi Ne Uski Mujhko Kar Diya Mahfil Se Dur, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.