Dilon Mein Dushmanon Ke Is Tarah Dar Bol UThte Hain, Urdu Ghazal By Haidar Qureshi

Dilon Mein Dushmanon Ke Is Tarah Dar Bol UThte Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Haidar Qureshi. Dilon Mein Dushmanon Ke Is Tarah Dar Bol UThte Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Dilon Mein Dushmanon Ke Is Tarah Dar Bol UThte Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دلوں میں دشمنوں کے اس طرح ڈر بول اٹھتے ہیں

حیدر قریشی

دلوں میں دشمنوں کے اس طرح ڈر بول اٹھتے ہیں

گواہی کو چھپاتے ہیں تو منظر بول اٹھتے ہیں

مری سچائی میری بے گناہی سب پہ ظاہر ہے

کہ اب جنگل کنویں صحرا سمندر بول اٹھتے ہیں

وہ پتھر دل سہی لیکن ہمارا بھی یہ دعویٰ ہے

ہمارے لب جنہیں چھو لیں وہ پتھر بول اٹھتے ہیں

بدل جاتے ہیں اک لمحے میں ہی تاریخ کے دھارے

کبھی جو موج میں آ کر قلندر بول اٹھتے ہیں

یہ کیا جادو ہے وہ جب بھی مرے ملنے کو آتا ہے

خوشی سے گھر کے سب دیوار اور در بول اٹھتے ہیں

زبان حق کسی کے جبر سے بھی رک نہیں سکتی

کہ نیزے کی انی پر بھی ٹنگے سر بول اٹھتے ہیں

لبوں کی قید سے کیا فرق آیا دل کی باتوں میں

کہ سارے لفظ آنکھوں سے ابھر کر بول اٹھتے ہیں

عجب اہل ستم اہل وفا میں ٹھن گئی حیدرؔ

ستم کرتے ہیں وہ اور یہ مکرر بول اٹھتے ہیں

حیدر قریشی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dilon Mein Dushmanon Ke Is Tarah Dar Bol UThte Hain

Haidar Qureshi

dilon mein dushmanon ke is tarah Dar bol uThte hain
gawahi ko chhupate hain to manzar bol uThte hain

meri sachchai meri be-gunahi sab pe zahir hai
ki ab jangal kuen sahra samundar bol uThte hain

wo patthar-dil sahi lekin hamara bhi ye dawa hai
hamare lab jinhen chhu len wo patthar bol uThte hain

badal jate hain ek lamhe mein hi tariKH ke dhaare
kabhi jo mauj mein aa kar qalandar bol uThte hain

ye kya jadu hai wo jab bhi mere milne ko aata hai
KHushi se ghar ke sab diwar aur dar bol uThte hain

zaban-e-haq kisi ke jabr se bhi ruk nahin sakti
ki neze ki ani par bhi Tange sar bol uThte hain

labon ki qaid se kya farq aaya dil ki baaton mein
ki sare lafz aankhon se ubhar kar bol uThte hain

ajab ahl-e-sitam ahl-e-wafa mein Than gai 'haidar'
sitam karte hain wo aur ye mukarrar bol uThte hain

(855) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Dilon Mein Dushmanon Ke Is Tarah Dar Bol UThte Hain written by Haidar Qureshi at UrduPoint. Dilon Mein Dushmanon Ke Is Tarah Dar Bol UThte Hain is one of the masterpieces written by Haidar Qureshi. You can also find the complete poetry collection of Haidar Qureshi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Haidar Qureshi' above.

Dilon Mein Dushmanon Ke Is Tarah Dar Bol UThte Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dilon Mein Dushmanon Ke Is Tarah Dar Bol UThte Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.