Arz Karta Hun Maniye Waiz, Urdu Ghazal By Hakeem Anwar Mohammad Khan Kamil

Arz Karta Hun Maniye Waiz is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Hakeem Anwar Mohammad Khan Kamil. Arz Karta Hun Maniye Waiz comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Arz Karta Hun Maniye Waiz on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

عرض کرتا ہوں مانیے واعظ

حکیم انوار محمد خاں کامل

عرض کرتا ہوں مانیے واعظ

ورنہ پھر آپ جانیے واعظ

کیسی لذت ہے مے میں پوشیدہ

پی کے تھوڑی سی دیکھیے واعظ

گو ملے گی شراب جنت میں

کون امید پر جیے واعظ

ہے یقیں بخش دے گا ہم کو خدا

کام اچھے بھی کچھ کیے واعظ

دیکھنا میکدے میں آیا ہے

ساتھ ایک شوخ کو لیے واعظ

واقعی آپ نے بھی کی توبہ

کہیں ایسا نہ کیجئے واعظ

دل میں کاملؔ کے رہ گئی حسرت

ہو گئے تنگ قافیے واعظ

حکیم انوار محمد خاں کامل

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Arz Karta Hun Maniye Waiz

Hakeem Anwar Mohammad Khan Kamil

arz karta hun maniye waiz
warna phir aap jaaniye waiz

kaisi lazzat hai mai mein poshida
pi ke thoDi si dekhiye waiz

go milegi sharab jannat mein
kaun ummid par jiye waiz

hai yaqin baKHsh dega hum ko KHuda
kaam achchhe bhi kuchh kiye waiz

dekhna mai-kade mein aaya hai
sath ek shoKH ko liye waiz

waqai aap ne bhi ki tauba
kahin aisa na kijiye waiz

dil mein 'kaamil' ke rah gai hasrat
ho gae tang qafiye waiz

(515) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Arz Karta Hun Maniye Waiz written by Hakeem Anwar Mohammad Khan Kamil at UrduPoint. Arz Karta Hun Maniye Waiz is one of the masterpieces written by Hakeem Anwar Mohammad Khan Kamil. You can also find the complete poetry collection of Hakeem Anwar Mohammad Khan Kamil by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Hakeem Anwar Mohammad Khan Kamil' above.

Arz Karta Hun Maniye Waiz is a widely read Urdu Ghazal. If you like Arz Karta Hun Maniye Waiz, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.