Charcha Hamara Ishq Ne Kyun Ja-ba-ja Kiya, Urdu Ghazal By Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida

Charcha Hamara Ishq Ne Kyun Ja-ba-ja Kiya is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida. Charcha Hamara Ishq Ne Kyun Ja-ba-ja Kiya comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Charcha Hamara Ishq Ne Kyun Ja-ba-ja Kiya on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

چرچا ہمارا عشق نے کیوں جا بجا کیا

حکیم محمد اجمل خاں شیدا

چرچا ہمارا عشق نے کیوں جا بجا کیا

دل اس کو دے دیا تو بھلا کیا برا کیا

اب کھولیے کتاب نصیحت کو شیخ پھر

شب مے کدہ میں آپ نے جو کچھ کیا کیا

وہ خواب ناز میں تھے مرا دیدۂ نیاز

دیکھا کیا اور ان کی بلائیں لیا کیا

روز ازل سے تا بہ ابد اپنی جیب کا

تھا ایک چاک جس کو میں بیٹھا سیا کیا

دیکھے جو داغ دامن عصیاں پہ بے شمار

میں نے بھی جوش گریہ سے طوفاں بپا کیا

گم کردہ راہ آئے ہیں وہ آج میرے گھر

اے میری آہ نیم شبی تو نے کیا کیا

کیا پوچھتے ہو دست قناعت کی کوتہی

کچھ وا شب وصال میں بند قبا کیا

لذت ہی تھی کچھ ایسی کہ چھوڑا نہ صبر کو

کرتے رہے وہ جور و ستم میں سہا کیا

کیا شے تھی وہ جو آنکھ سے دل میں اتر گئی

دل سے اٹھی تو اشک کا طوفاں بپا کیا

پھر لے چلا ہے کل مجھے کیوں بزم یار میں

ایجاد اس نے کیا کوئی طرز جفا کیا

شیداؔ غزل پڑھو کوئی مجلس میں دوسری

اک پڑھ کے رہ گئے تو بھلا تم نے کیا کیا

حکیم محمد اجمل خاں شیدا

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Charcha Hamara Ishq Ne Kyun Ja-ba-ja Kiya

Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida

charcha hamara ishq ne kyun ja-ba-ja kiya
dil us ko de diya to bhala kya bura kya

ab kholiye kitab-e-nasihat ko shaiKH phir
shab mai-kade mein aap ne jo kuchh kiya kiya

wo KHwab-e-naz mein the mera dida-e-niyaz
dekha kiya aur un ki balaen liya kiya

roz-e-azal se ta-ba-abad apni jaib ka
tha ek chaak jis ko main baiTha siya kiya

dekhe jo dagh daman-e-isyan pe be-shumar
main ne bhi josh-e-girya se tufan bapa kiya

gum-karda rah aae hain wo aaj mere ghar
ai meri aah-e-nim-shabi tu ne kya kiya

kya puchhte ho dast-e-qanaat ki kotahi
kuchh wa shab-e-visal mein band qaba kiya

lazzat hi thi kuchh aisi ki chhoDa na sabr ko
karte rahe wo jaur-o-sitam main saha kiya

kya shai thi wo jo aankh se dil mein utar gai
dil se uThi to ashk ka tufan bapa kiya

phir le chala hai kal mujhe kyun bazm-e-yar mein
ijad us ne kya koi tarz-e-jafa kiya

'shaida' ghazal paDho koi majlis mein dusri
ek paDh ke rah gae to bhala tum ne kya kiya

(1208) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

More Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida Poetry

You can read Charcha Hamara Ishq Ne Kyun Ja-ba-ja Kiya written by Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida at UrduPoint. Charcha Hamara Ishq Ne Kyun Ja-ba-ja Kiya is one of the masterpieces written by Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida. You can also find the complete poetry collection of Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida' above.

Charcha Hamara Ishq Ne Kyun Ja-ba-ja Kiya is a widely read Urdu Ghazal. If you like Charcha Hamara Ishq Ne Kyun Ja-ba-ja Kiya, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.