Raftar Jitni Tez Rakho Koi Had Nahin, Urdu Ghazal By Hamza Yaqub

Raftar Jitni Tez Rakho Koi Had Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Hamza Yaqub. Raftar Jitni Tez Rakho Koi Had Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Raftar Jitni Tez Rakho Koi Had Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

رفتار جتنی تیز رکھو کوئی حد نہیں

حمزہ یعقوب

رفتار جتنی تیز رکھو کوئی حد نہیں

میں روشنی ہوں مجھ کو کسی سے حسد نہیں

انسان اپنی جنگ کا خود فیصلہ کریں

خوشنودی چاہتا ہوں خدا کی مدد نہیں

منطق سے تیز ہوتی ہے حس جمالیات

میرے کیے ہوئے کسی دعوے کا رد نہیں

گھبرا کے کیمرے کی طرف دیکھتا ہے کیا

تصویر کھینچ لے گا ترے خال و خد نہیں

آزاد رہنے والوں کی خاطر بھرا جہان

محصور ہونے والوں کی کوئی رسد نہیں

حمزہ یعقوب

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Raftar Jitni Tez Rakho Koi Had Nahin

Hamza Yaqub

raftar jitni tez rakho koi had nahin
main raushni hun mujh ko kisi se hasad nahin

insan apni jang ka KHud faisla karen
KHushnudi chahta hun KHuda ki madad nahin

mantiq se tez hoti hai hiss-e-jamaliyat
mere kiye hue kisi dawe ka radd nahin

ghabra ke camere ki taraf dekhta hai kya
taswir khinch lega tere KHal-o-KHad nahin

aazad rahne walon ki KHatir bhara jahan
mahsur hone walon ki koi rasad nahin

(900) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Raftar Jitni Tez Rakho Koi Had Nahin written by Hamza Yaqub at UrduPoint. Raftar Jitni Tez Rakho Koi Had Nahin is one of the masterpieces written by Hamza Yaqub. You can also find the complete poetry collection of Hamza Yaqub by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Hamza Yaqub' above.

Raftar Jitni Tez Rakho Koi Had Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Raftar Jitni Tez Rakho Koi Had Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.