Meri Hayat Agar Muzhda-e-sahar Bhi Nahin, Urdu Ghazal By Hanif Fauq

Meri Hayat Agar Muzhda-e-sahar Bhi Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Hanif Fauq. Meri Hayat Agar Muzhda-e-sahar Bhi Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Meri Hayat Agar Muzhda-e-sahar Bhi Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

مری حیات اگر مژدۂ سحر بھی نہیں

حنیف فوق

مری حیات اگر مژدۂ سحر بھی نہیں

ستم یہ ہے کہ ترے غم کی رہ گزر بھی نہیں

چمن میں ہوں میں پریشان مثل موج نسیم

چٹک کے غنچے کہیں گے ہمیں خبر بھی نہیں

نشاط و کیف کے لمحوں ذرا ٹھہر جاؤ

بہار راہ میں ہے دور کا سفر بھی نہیں

میں تیری جنبش مژگاں سے کانپ جاتا ہوں

اگرچہ دل کو غم دو جہاں سے ڈر بھی نہیں

فریب وعدہ پہ ہم تا ابد جئیں لیکن

ہزار حیف یہ امکان عمر بھر بھی نہیں

کوئی تو ہمدم دیرینہ دے صدا اس دم

وہ اجنبی ہوں کہ مانوس اپنا گھر بھی نہیں

نسیم سر بہ گریباں صبا ہے سر گرداں

وہ وقت ہے کوئی خوشبو کا راہبر بھی نہیں

زمین پر ہی کہیں نور کا سراغ لگاؤ

ستارے ڈوب گئے چرخ پر قمر بھی نہیں

کٹی ہے آنکھوں ہی آنکھوں میں شام ہجر مگر

شب دراز الم اتنی مختصر بھی نہیں

کسی کی نرم نگاہی کی آنچ ہے ورنہ

یہ دل پذیر نوا جلوۂ ہنر بھی نہیں

ہوائے شام سے کتنے چراغ جل اٹھے

دیار دل میں تمنا کا اک شرر بھی نہیں

نہ جانے کیوں در زنداں بھی کانپ اٹھتا ہے

صدائے‌ فوقؔ اگر ایسی کارگر بھی نہیں

حنیف فوق

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Meri Hayat Agar Muzhda-e-sahar Bhi Nahin

Hanif Fauq

meri hayat agar muzhda-e-sahar bhi nahin
sitam ye hai ki tere gham ki rahguzar bhi nahin

chaman mein hon mein pareshan misl-e-mauj-e-nasim
chaTak ke ghunche kahenge hamein KHabar bhi nahin

nishat-o-kaif ke lamhon zara Thahar jao
bahaar rah mein hai dur ka safar bhi nahin

main teri jumbish-e-mizhgan se kanp jata hon
agarche dil ko gham-e-do-jahan se Dar bhi nahin

fareb-e-wada pe hum ta-abad jien lekin
hazar haif ye imkan umr bhar bhi nahin

koi to hamdam-e-derina de sada is dam
wo ajnabi hon ki manus apna ghar bhi nahin

nasim sar-ba-gareban saba hai sar-gardan
wo waqt hai koi KHushbu ka rahbar bhi nahin

zamin par hi kahin nur ka suragh lagao
sitare Dub gae charKH par qamar bhi nahin

kaTi hai aankhon hi aankhon mein sham-e-hijr magar
shab-e-daraaz-e-alam itni muKHtasar bhi nahin

kisi ki narm-nigahi ki aanch hai warna
ye dil-pazir nawa jalwa-e-hunar bhi nahin

hawa-e-sham se kitne charagh jal uTThe
dayar-e-dil mein tamanna ka ek sharar bhi nahin

na jaane kyun dar-e-zindan bhi kanp uThta hai
sada-e-'fauq' agar aisi kargar bhi nahin

(686) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Meri Hayat Agar Muzhda-e-sahar Bhi Nahin written by Hanif Fauq at UrduPoint. Meri Hayat Agar Muzhda-e-sahar Bhi Nahin is one of the masterpieces written by Hanif Fauq. You can also find the complete poetry collection of Hanif Fauq by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Hanif Fauq' above.

Meri Hayat Agar Muzhda-e-sahar Bhi Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Meri Hayat Agar Muzhda-e-sahar Bhi Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.