Aaj Sauda-e-mohabbat Ki Ye Arzani Hai, Urdu Ghazal By Hanson Rehani

Aaj Sauda-e-mohabbat Ki Ye Arzani Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Hanson Rehani. Aaj Sauda-e-mohabbat Ki Ye Arzani Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Aaj Sauda-e-mohabbat Ki Ye Arzani Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

آج سودائے محبت کی یہ ارزانی ہے

ہینسن ریحانی

آج سودائے محبت کی یہ ارزانی ہے

کام بیکار جوانوں کا غزل خوانی ہے

غم کی تکمیل کا سامان ہوا ہے پیدا

لائق فخر مری بے سر و سامانی ہے

سنگ و آہن تو بنے آئینے ان کی خاطر

دل نہ آئینہ بنا سخت یہ حیرانی ہے

مجھ سے اس درجہ خفا کیوں ہو کوئی پردہ نشیں

آرزو دید کی جب فطرت انسانی ہے

فیصلہ دل کا محبت میں ہے رہبر اپنا

فکر کیا منزل جاناں اگر انجانی ہے

وہ کریں یا نہ کریں اپنی جفا سے توبہ

میرے دل کو مگر احساس پشیمانی ہے

ہینسن ریحانی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Aaj Sauda-e-mohabbat Ki Ye Arzani Hai

Hanson Rehani

aaj sauda-e-mohabbat ki ye arzani hai
kaam be-kar jawanon ka ghazal-KHwani hai

gham ki takmil ka saman hua hai paida
laiq-e-faKHr meri be-sar-o-samani hai

sang o aahan to bane aaine un ki KHatir
dil na aaina bana saKHt ye hairani hai

mujh se is darja KHafa kyun ho koi parda-nashin
aarzu did ki jab fitrat-e-insani hai

faisla dil ka mohabbat mein hai rahbar apna
fikr kiya manzil-e-jaanan agar anjaani hai

wo karen ya na karen apni jafa se tauba
mere dil ko magar ehsas-e-peshemani hai

(985) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Aaj Sauda-e-mohabbat Ki Ye Arzani Hai written by Hanson Rehani at UrduPoint. Aaj Sauda-e-mohabbat Ki Ye Arzani Hai is one of the masterpieces written by Hanson Rehani. You can also find the complete poetry collection of Hanson Rehani by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Hanson Rehani' above.

Aaj Sauda-e-mohabbat Ki Ye Arzani Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Aaj Sauda-e-mohabbat Ki Ye Arzani Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.