Abhi To Yahi Dekhna Chahta Hun, Urdu Ghazal By Hari Chand Akhtar

Abhi To Yahi Dekhna Chahta Hun is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Hari Chand Akhtar. Abhi To Yahi Dekhna Chahta Hun comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Abhi To Yahi Dekhna Chahta Hun on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ابھی تو یہی دیکھنا چاہتا ہوں

ہری چند اختر

ابھی تو یہی دیکھنا چاہتا ہوں

نہیں چاہتا ان کو یا چاہتا ہوں

وہ کہتے ہیں تم مجھ سے کیا چاہتے ہو

یہی کچھ تو میں جاننا چاہتا ہوں

مری نیتوں پر نظر رکھنے والو

خدارا بتا دو میں کیا چاہتا ہوں

نہ سمجھا کوئی جس کو وہ حرف ہوں میں

غلط ہو گیا ہوں مٹا چاہتا ہوں

وہ پرجوش آنسو وہ خاموش آہیں

وہی عشق کی ابتدا چاہتا ہوں

میں سمجھا وہ کچھ پوچھنا چاہتے ہیں

وہ سمجھے کہ میں کچھ کہا چاہتا ہوں

امیدوں سے دل برباد کو آباد کرتا ہوں

مٹانے کے لئے دنیا نئی ایجاد کرتا ہوں

تری میعاد غم پوری ہوئی اے زندگی خوش ہو

قفس ٹوٹے نہ ٹوٹے میں تجھے آزاد کرتا ہوں

جفا کارو مری مظلوم خاموشی پہ ہنستے ہو

ذرا ٹھہرو ذرا دم لو ابھی فریاد کرتا ہوں

میں اپنے دل کا مالک ہوں مرا دل ایک بستی ہے

کبھی آباد کرتا ہوں کبھی برباد کرتا ہوں

ملاقاتیں بھی ہوتی ہیں ملاقاتوں کے بعد اکثر

وہ مجھ کو بھول جاتے ہیں میں ان کو یاد کرتا ہوں

خودی کی ابتدا یہ تھی کہ اپنے آپ میں گم تھا

خودی کی انتہا یہ ہے خدا کو یاد کرتا ہوں

بتوں کے عشق میں کھویا گیا ہوں ورنہ اے اخترؔ

خدا شاہد ہے میں اکثر خدا کو یاد کرتا ہوں

ہری چند اختر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Abhi To Yahi Dekhna Chahta Hun

Hari Chand Akhtar

abhi to yahi dekhna chahta hun
nahin chahta un ko ya chahta hun

wo kahte hain tum mujh se kya chahte ho
yahi kuchh to main jaanna chahta hun

meri niyaton par nazar rakhne walo
KHudara bata do main kya chahta hun

na samjha koi jis ko wo harf hun main
ghalat ho gaya hun miTa chahta hun

wo pur-josh aansu wo KHamosh aahen
wahi ishq ki ibtida chahta hun

main samjha wo kuchh puchhna chahte hain
wo samjhe ki main kuchh kaha chahta hun

ummidon se dil-e-barbaad ko aabaad karta hun
miTane ke liye duniya nai ijad karta hun

teri miad-e-gham puri hui ai zindagi KHush ho
qafas TuTe na TuTe mein tujhe aazad karta hun

jafa-karo meri mazlum KHamoshi pe hanste ho
zara Thahro zara dam lo abhi fariyaad karta hun

mein apne dil ka malik hun mera dil ek basti hai
kabhi aabaad karta hun kabhi barbaad karta hun

mulaqaten bhi hoti hain mulaqaton ke baad aksar
wo mujh ko bhul jate hain main un ko yaad karta hun

KHudi ki ibtida ye thi ki apne-ap mein gum tha
KHudi ki intiha ye hai KHuda ko yaad karta hun

buton ke ishq mein khoya gaya hun warna ai 'aKHtar'
KHuda shahid hai main aksar KHuda ko yaad karta hun

(1272) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Abhi To Yahi Dekhna Chahta Hun written by Hari Chand Akhtar at UrduPoint. Abhi To Yahi Dekhna Chahta Hun is one of the masterpieces written by Hari Chand Akhtar. You can also find the complete poetry collection of Hari Chand Akhtar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Hari Chand Akhtar' above.

Abhi To Yahi Dekhna Chahta Hun is a widely read Urdu Ghazal. If you like Abhi To Yahi Dekhna Chahta Hun, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.