Waqt Guzra Hai Tere Hijr Mein Aise Jaanan, Urdu Ghazal By Hasnain Aqib

Waqt Guzra Hai Tere Hijr Mein Aise Jaanan is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Hasnain Aqib. Waqt Guzra Hai Tere Hijr Mein Aise Jaanan comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Waqt Guzra Hai Tere Hijr Mein Aise Jaanan on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

وقت گزرا ہے ترے ہجر میں ایسے جاناں

حسنین عاقب

وقت گزرا ہے ترے ہجر میں ایسے جاناں

کوئی مچھلی بنا پانی کے ہو جیسے جاناں

ہم کو معلوم تھا تو خوش ہے بچھڑ کر ہم سے

پھر بھی ہم یاد میں بے حد تری روئے جاناں

ہر گزر گاہ تری مجھ کو تھی منزل کی طرح

تو نے دیکھا نہیں مجھ کو کبھی مڑ کے جاناں

راہ کانٹوں بھری گلشن میں بدل سکتی تھی

ایک دوجے کو کبھی ہم جو سمجھتے جاناں

جن پہ چلتے تھے زمانے کو بھلا کر ہم لوگ

یاد کرتے ہیں ہمیں اب بھی وہ رستے جاناں

دل کے گوشے میں تھا صندوق تری یادوں کا

کر دیا ہے اسے ماضی کے حوالے جاناں

اب بھی رہ رہ کے مرے دل میں چمک اٹھتے ہیں

تو نے دیکھے تھے جو کچھ ٹوٹتے تارے جاناں

کچھ تو وہ زخم ہیں جو تو نے دئے ہیں مجھ کو

اور کچھ زخم کہ لوگوں نے اچھالے جاناں

اپنے ملنے کے زمانے میں ہیں قصے مشہور

ہم تو دو پل بھی کبھی ساتھ نہ بیٹھے جاناں

یہ غضب ہے کہ یہ آثار قیامت کے ہیں

ایک معصوم محبت پہ یہ پہرے جاناں

آزمائش ہے کڑی تیری محبت بھی صنم

ظلم ہر رنگ میں ہم نے ترے دیکھے جاناں

تیرا یہ شہر تو مسکن ہے ہنر مندوں کا

بات بدلی ہوئی بدلے ہوئے چہرے جاناں

مرغ بسمل کی طرح جیسے تڑپتا ہوں میں

تو بھی چاہت میں مری ایسے ہی تڑپے جاناں

تیرے شانوں پہ یوں ہی ہاتھ رکھا تھا میں نے

منجمد ہو گئے یادوں میں وہ لمحے جاناں

میں بھی کچھ وقت نہ رک پایا تمہاری خاطر

تم بھی میرے لیے کچھ دیر نہ ٹھہرے جاناں

تو نگاہوں میں بسا لیتی ہمیں تو ہم بھی

اشک بن کر ترے گالوں پہ لڑھکتے جاناں

ہم نے اقبال محبت پہ کہاں جبر کیا

بات تو بات تھی تم بات ہی سنتے جاناں

تجھ کو ڈر ہے تجھے مجھ سے نہ محبت ہو جائے

مجھ کو اندیشہ اسے سچ نہ تو سمجھے جاناں

اپنے ملنے کی نہیں آج بھی کوئی امید

ایک مدت ہوئی حالات نہ بدلے جاناں

حسنین عاقب

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Waqt Guzra Hai Tere Hijr Mein Aise Jaanan

Hasnain Aqib

waqt guzra hai tere hijr mein aise jaanan
koi machhli bina pani ke ho jaise jaanan

hum ko malum tha tu KHush hai bichhaD kar hum se
phir bhi hum shab mein behad teri roe jaanan

har guzargah teri mujh ko thi manzil ki tarah
tu ne dekha nahin mujh ko kabhi muD ke jaanan

rah kanTon bhari gulshan mein badal sakti thi
ek duje ko kabhi hum jo samajhte jaanan

jin pe chalte the zamane ko bhula kar hum log
yaad karte hain hamein ab bhi wo raste jaanan

dil ke goshe mein tha sanduq teri yaadon ka
kar diya hai use mazi ke hawale jaanan

ab bhi rah rah ke mere dil mein chamak uThte hain
tu ne dekhe the jo kuchh TuTte tare jaanan

kuchh to wo zaKHm hain jo tu ne diye hain mujh ko
aur kuchh zaKHm ki logon ne uchhaale jaanan

apne milne ke zamane mein hain qisse mashhur
hum to do pal bhi kabhi sath na baiThe jaanan

ye ghazab hai ki ye aasar qayamat ke hain
ek masum mohabbat pe ye pahre jaanan

aazmaish hai kaDi teri mohabbat bhi sanam
zulm har rang mein hum ne tere dekhe jaanan

tera ye shahar to maskan hai hunar-mandon ka
baat badli hui badle hue chehre jaanan

murgh-e-bismil ki tarah jaise taDapta hun main
tu bhi chahat mein meri aise hi taDpe jaanan

tere shanon pe yunhi hath rakha tha main ne
munjamid ho gae yaadon mein wo lamhe jaanan

main bhi kuchh waqt na ruk paya tumhaari KHatir
tum bhi mere liye kuchh der na Thahre jaanan

tu nigahon mein basa leti hamein to hum bhi
ashk ban kar tere galon pe luDhakte jaanan

hum ne iqbaal-e-mohabbat pe kahan jabr kiya
baat to baat thi tum baat hi sunte jaanan

tujh ko Dar hai tujhe mujh se na mohabbat ho jae
mujh ko andesha ise sach na tu samjhe jaanan

apne milne ki nahin aaj bhi koi ummid
ek muddat hui haalat na badle jaanan

(995) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Waqt Guzra Hai Tere Hijr Mein Aise Jaanan written by Hasnain Aqib at UrduPoint. Waqt Guzra Hai Tere Hijr Mein Aise Jaanan is one of the masterpieces written by Hasnain Aqib. You can also find the complete poetry collection of Hasnain Aqib by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Hasnain Aqib' above.

Waqt Guzra Hai Tere Hijr Mein Aise Jaanan is a widely read Urdu Ghazal. If you like Waqt Guzra Hai Tere Hijr Mein Aise Jaanan, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.