Dukh UThao Kitne Hi Ghar Bahaar Karne Mein, Urdu Ghazal By Hassan Akbar Kamal

Dukh UThao Kitne Hi Ghar Bahaar Karne Mein is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Hassan Akbar Kamal. Dukh UThao Kitne Hi Ghar Bahaar Karne Mein comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Dukh UThao Kitne Hi Ghar Bahaar Karne Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دکھ اٹھاؤ کتنے ہی گھر بہار کرنے میں

حسن اکبر کمال

دکھ اٹھاؤ کتنے ہی گھر بہار کرنے میں

ایک پل نہیں لگتا پھول سب بکھرنے میں

زندگی ہو کیسی بھی اس سے جی نہیں بھرتا

ورنہ صرف ہوتا ہے کتنا وقت مرنے میں

کھڑکیاں ہوئیں خالی پھولوں اور چراغوں سے

کیسا دل تڑپتا ہے شہر سے گزرنے میں

وقت زخم بھرتا ہے اور یوں بھی ہوتا ہے

عمر بیت جاتی ہے ایک زخم بھرنے میں

سب کی بات دہرانا یوں تو رسم دنیا ہے

لطف اور ہے لیکن اپنی بات کرنے میں

جا بسی ہے وہ لڑکی شہر میں مگر اب بھی

گونجتے ہیں گیت اس کے ہر پہاڑی جھرنے میں

حسن اکبر کمال

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dukh UThao Kitne Hi Ghar Bahaar Karne Mein

Hassan Akbar Kamal

dukh uThao kitne hi ghar bahaar karne mein
ek pal nahin lagta phul sab bikharne mein

zindagi ho kaisi bhi us se ji nahin bharta
warna sirf hota hai kitna waqt marne mein

khiDkiyan huin KHali phulon aur charaghon se
kaisa dil taDapta hai shahr se guzarne mein

waqt zaKHm bharta hai aur yun bhi hota hai
umr bit jati hai ek zaKHm bharne mein

sab ki baat dohrana yun to rasm-e-duniya hai
lutf aur hai lekin apni baat karne mein

ja basi hai wo laDki shahr mein magar ab bhi
gunjte hain git us ke har pahaDi jharne mein

(826) ووٹ وصول ہوئے

You can read Dukh UThao Kitne Hi Ghar Bahaar Karne Mein written by Hassan Akbar Kamal at UrduPoint. Dukh UThao Kitne Hi Ghar Bahaar Karne Mein is one of the masterpieces written by Hassan Akbar Kamal. You can also find the complete poetry collection of Hassan Akbar Kamal by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Hassan Akbar Kamal' above.

Dukh UThao Kitne Hi Ghar Bahaar Karne Mein is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dukh UThao Kitne Hi Ghar Bahaar Karne Mein, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.