Raat Lambi Bhi Hai Aur Tarik Bhi Shab-guzari Ka Saman Karo Dosto, Urdu Ghazal By Hassan Akhtar Jaleel

Raat Lambi Bhi Hai Aur Tarik Bhi Shab-guzari Ka Saman Karo Dosto is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Hassan Akhtar Jaleel. Raat Lambi Bhi Hai Aur Tarik Bhi Shab-guzari Ka Saman Karo Dosto comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Raat Lambi Bhi Hai Aur Tarik Bhi Shab-guzari Ka Saman Karo Dosto on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

رات لمبی بھی ہے اور تاریک بھی شب گزاری کا ساماں کرو دوستو

حسن اختر جلیل

رات لمبی بھی ہے اور تاریک بھی شب گزاری کا ساماں کرو دوستو

جانے پھر کب یہ ملنا مقدر میں ہو اپنی اپنی کہانی کہو دوستو

کس پری چہرہ سے پیار تم نے کیا کون سے دیس کے شاہزادے ہو تم

اپنی روداد الفت سنا کر بہم داستاں کوئی تشکیل دو دوستو

مجھ کو احساس ہے تم بھی میری طرح جان و دل کوئے الفت میں ہار آئے ہو

اب یہ بازی نئے سر سے ممکن نہیں اپنا انجام خود سوچ لو دوستو

صبح ہوگی تو ظالم زمانے کے غم تم پہ ابر ستم بن کے چھا جائیں گے

فرصت بزم شب سے گھڑی دو گھڑی بات آپس کی کوئی کرو دوستو

ڈھل گئی رات تارے بکھرنے لگے منتشر ہو چلے دھیان کے سلسلے

کوئی دم اور دل میں فروزاں رہو ایک مدت کے بعد آئے ہو دوستو

حسن اختر جلیل

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Raat Lambi Bhi Hai Aur Tarik Bhi Shab-guzari Ka Saman Karo Dosto

Hassan Akhtar Jaleel

raat lambi bhi hai aur tarik bhi shab-guzari ka saman karo dosto
jaane phir kab ye milna muqaddar mein ho apni apni kahani kaho dosto

kis pari-chehra se pyar tum ne kiya kaun se des ke shahzade ho tum
apni rudad-e-ulfat suna kar baham dastan koi tashkil do dosto

mujh ko ehsas hai tum bhi meri tarah jaan-o-dil ku-e-ulfat mein haar aae ho
ab ye bazi nae sar se mumkin nahin apna anjam KHud soch lo dosto

subh hogi to zalim zamane ke gham tum pe abr-e-sitam ban ke chha jaenge
fursat-e-bazm-e-shab se ghaDi-do-ghaDi baat aapas ki koi karo dosto

Dhal gai raat tare bikharne lage muntashir ho chale dhyan ke silsile
koi dam aur dil mein farozan raho ek muddat ke baad aae ho dosto

(1284) ووٹ وصول ہوئے

You can read Raat Lambi Bhi Hai Aur Tarik Bhi Shab-guzari Ka Saman Karo Dosto written by Hassan Akhtar Jaleel at UrduPoint. Raat Lambi Bhi Hai Aur Tarik Bhi Shab-guzari Ka Saman Karo Dosto is one of the masterpieces written by Hassan Akhtar Jaleel. You can also find the complete poetry collection of Hassan Akhtar Jaleel by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Hassan Akhtar Jaleel' above.

Raat Lambi Bhi Hai Aur Tarik Bhi Shab-guzari Ka Saman Karo Dosto is a widely read Urdu Ghazal. If you like Raat Lambi Bhi Hai Aur Tarik Bhi Shab-guzari Ka Saman Karo Dosto, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.