Shab Ki Dahliz Se Kis Hath Ne Phenka Patthar, Urdu Ghazal By Hassan Akhtar Jaleel

Shab Ki Dahliz Se Kis Hath Ne Phenka Patthar is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Hassan Akhtar Jaleel. Shab Ki Dahliz Se Kis Hath Ne Phenka Patthar comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Shab Ki Dahliz Se Kis Hath Ne Phenka Patthar on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

شب کی دہلیز سے کس ہاتھ نے پھینکا پتھر

حسن اختر جلیل

شب کی دہلیز سے کس ہاتھ نے پھینکا پتھر

ہو گیا صبح کا مہکا ہوا چہرہ پتھر

کچھ انوکھی تو نہیں میری محبت کی شکست

آئنے جب بھی مقابل ہوئے جیتا پتھر

اس طلسمات کی وادی میں پلٹ کر بھی نہ دیکھ

ورنہ ہو جائے گا خود تیرا سراپا پتھر

یاد کی لہر بہا لائی ہے کس دیس مجھے

ہے یہاں وقت کا بہتا ہوا دریا پتھر

کس کے پیکر میں سماتا مرے احساس کا لوچ

میں نے انساں سے خجل ہو کے تراشا پتھر

تیری آنکھوں میں ابھی نیند کے ڈورے کیوں ہیں

یاں تو اک چوٹ سے ہو جاتے ہیں بینا پتھر

کند کر دیتا ہے یوں ذہن کو حالات کا زہر

جیسے بن جائے چمکتا ہوا سونا پتھر

تیری سوچوں کی قسم اے مرے خاموش خدا

مجھ سے کرتے ہیں اطاعت کا تقاضا پتھر

مجھ سے مایوس نہ پلٹے مری تقدیر کے غم

میری انگلی میں نہ تھا کوئی چمکتا پتھر

کتنی دل دار ہے ساحل کی چمکتی ہوئی ریت

اب نہیں پاؤں تلے کوئی نکیلا پتھر

میں سر دار کھڑا ہوں کئی صدیوں سے جلیلؔ

کون مارے گا مرے جسم پہ پہلا پتھر

حسن اختر جلیل

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Shab Ki Dahliz Se Kis Hath Ne Phenka Patthar

Hassan Akhtar Jaleel

shab ki dahliz se kis hath ne phenka patthar
ho gaya subh ka mahka hua chehra patthar

kuchh anokhi to nahin meri mohabbat ki shikast
aaine jab bhi muqabil hue jita patthar

is tilismat ki wadi mein palaT kar bhi na dekh
warna ho jaega KHud tera sarapa patthar

yaad ki lahr baha lai hai kis des mujhe
hai yahan waqt ka bahta hua dariya patthar

kis ke paikar mein samata mere ehsas ka loch
main ne insan se KHajil ho ke tarasha patthar

teri aankhon mein abhi nind ke Dore kyun hain
yan to ek choT se ho jate hain bina patthar

kund kar deta hai yun zehan ko haalat ka zahr
jaise ban jae chamakta hua sona patthar

teri sochon ki qasam ai mere KHamosh KHuda
mujh se karte hain itaat ka taqaza patthar

mujh se mayus na palTe meri taqdir ke gham
meri ungli mein na tha koi chamakta patthar

kitni dildar hai sahil ki chamakti hui ret
ab nahin panw-tale koi nukila patthar

main sar-e-dar khaDa hun kai sadiyon se 'jalil'
kaun marega mere jism pe pahla patthar

(785) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Shab Ki Dahliz Se Kis Hath Ne Phenka Patthar written by Hassan Akhtar Jaleel at UrduPoint. Shab Ki Dahliz Se Kis Hath Ne Phenka Patthar is one of the masterpieces written by Hassan Akhtar Jaleel. You can also find the complete poetry collection of Hassan Akhtar Jaleel by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Hassan Akhtar Jaleel' above.

Shab Ki Dahliz Se Kis Hath Ne Phenka Patthar is a widely read Urdu Ghazal. If you like Shab Ki Dahliz Se Kis Hath Ne Phenka Patthar, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.