Ba-KHuda Hain Teri Hindu But Mai-KHwar Aankhen, Urdu Ghazal By Hatim Ali Mehr

Ba-KHuda Hain Teri Hindu But Mai-KHwar Aankhen is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Hatim Ali Mehr. Ba-KHuda Hain Teri Hindu But Mai-KHwar Aankhen comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ba-KHuda Hain Teri Hindu But Mai-KHwar Aankhen on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

بہ خدا ہیں تیری ہندو بت مے خوار آنکھیں

حاتم علی مہر

بہ خدا ہیں تیری ہندو بت مے خوار آنکھیں

نشہ کی ڈوری نہیں پہنیں ہیں زنار آنکھیں

نذر دل مانگتی ہیں آپ کی سرشار آنکھیں

عین مستی میں رہا کرتی ہیں ہوشیار آنکھیں

مجھ کو نظارہ ہے اس پردہ نشیں کا منظور

کاش بن جائیں مری روزن دیوار آنکھیں

چشم آہو سے غرض تھی نہ مجھے نرگس سے

تری آنکھوں سے جو ملتیں نہ یہ دو چار آنکھیں

چار چشم اس لئے کہتا ہے مجھے اک عالم

کہ مری آنکھوں میں پھرتی ہیں تری یار آنکھیں

دیکھتے رہتے ہیں ہم راہ تمہاری صاحب

آپ آتے نہیں آ جاتی ہیں ہر بار آنکھیں

شوخ چشمی سے چکاروں کو وہ دھمکاتی ہیں

دیکھنا ہم سے ملانا نہ خبردار آنکھیں

تاک لیتے ہیں نظر باز ہیں ہم بھی صاحب

دل چرایا ہے چراتے ہو جو ہر بار آنکھیں

پیار سے میں نے جو دیکھا تو وہ فرماتے ہیں

دیکھیے دیکھیے ہوتی ہیں گنہ گار آنکھیں

چوم لیتے ہیں وہ آئینے میں آنکھیں اپنی

لب مسیحائی کریں گے کہ ہیں بیمار آنکھیں

چشم بددور ہے کاجل بھی تو منظور نظر

کیوں نظر ہو گئی کیوں ہو گئیں بیمار آنکھیں

رخ صیاد جو دیکھا ہے تو اب دیکھ کے گل

بند کر لیتے ہیں مرغان گرفتار آنکھیں

بن گئے پنجۂ مژگاں بھی مری دست دعا

دیکھ رکھتی ہیں نہ کچھ حسرت دیدار آنکھیں

دست وحشت میں غزالوں کو تکا کرتا ہوں

رات دن پیش نظر ہیں تری اے یار آنکھیں

یہ مرا دامن تر دامن گلچیں ہوگا

رنگ لائیں گی ابھی تو مری خوں بار آنکھیں

مرغ دل اس سے کسی طرح نہیں بچ سکتا

کہیں شاہین شکاری سی ہیں طیار آنکھیں

چشم مخمور میں ساقی کی یہ کیفیت ہے

نشہ مستوں کے دوبالا ہوں جو ہوں چار‌‌ آنکھیں

چاہیے حضرت موسیٰ کے لئے جلوۂ طور

تیرے دیدار کی ہیں اپنی سزاوار آنکھیں

آگرہ چھوٹ گیا مہرؔ تو چنار میں بھی

ڈھونڈھا کرتی ہیں وہی کوچہ و بازار آنکھیں

حاتم علی مہر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ba-KHuda Hain Teri Hindu But Mai-KHwar Aankhen

Hatim Ali Mehr

ba-KHuda hain teri hindu but mai-KHwar aankhen
nashshe ki Dori nahin pahnen hain zunnar aankhen

nazr-e-dil mangti hain aap ki sarshaar aankhen
ain masti mein raha karti hain hoshiyar aankhen

mujh ko nazzara hai is parda-nashin ka manzur
kash ban jaen meri rauzan-e-diwar aankhen

chashm-e-ahu se gharaz thi na mujhe nargis se
teri aankhon se jo miltin na ye do-chaar aankhen

chaar-chashm is liye kahta hai mujhe ek aalam
ki meri aankhon mein phirti hain teri yar aankhen

dekhte rahte hain hum rah tumhaari sahab
aap aate nahin aa jati hain har bar aankhen

shoKH-chashmi se chakaron ko wo dhamkati hain
dekhna hum se milana na KHabar-dar aankhen

tak lete hain nazar-baz hain hum bhi sahab
dil churaya hai churaate ho jo har bar aankhen

pyar se main ne jo dekha to wo farmate hain
dekhiye dekhiye hoti hain gunahgar aankhen

chum lete hain wo aaine mein aankhen apni
lab masihai karenge ki hain bimar aankhen

chashm-e-baddur hai kajal bhi to manzur-e-nazar
kyun nazar ho gai kyun ho gain bimar aankhen

ruKH-e-sayyaad jo dekha hai to ab dekh ke gul
band kar lete hain murghan-e-giraftar aankhen

ban gae panja-e-mizhgan bhi meri dast-e-dua
dekh rakhti hain na kuchh hasrat-e-didar aankhen

dast-e-wahshat mein ghazalon ko taka karta hun
raat-din pesh-e-nazar hain teri ai yar aankhen

ye mera daman-e-tar daman-e-gulchin hoga
rang laengi abhi to meri KHun-bar aankhen

murgh-e-dil us se kisi tarah nahin bach sakta
kahin shahin shikari si hain tayyar aankhen

chashm-e-maKHmur mein saqi ki ye kaifiyyat hai
nashsha maston ke do-baala hon jo hon chaar-ankhen

chahiye hazrat-e-musa ke liye jalwa-e-tur
tere didar ki hain apni saza-war aankhen

aagara chhuT gaya 'mehr' to chunnar mein bhi
DhunDha karti hain wahi kucha-o-bazar aankhen

(699) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ba-KHuda Hain Teri Hindu But Mai-KHwar Aankhen written by Hatim Ali Mehr at UrduPoint. Ba-KHuda Hain Teri Hindu But Mai-KHwar Aankhen is one of the masterpieces written by Hatim Ali Mehr. You can also find the complete poetry collection of Hatim Ali Mehr by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Hatim Ali Mehr' above.

Ba-KHuda Hain Teri Hindu But Mai-KHwar Aankhen is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ba-KHuda Hain Teri Hindu But Mai-KHwar Aankhen, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.