Chain Pahlu Mein Use Subh Nahin Sham Nahin, Urdu Ghazal By Hatim Ali Mehr

Chain Pahlu Mein Use Subh Nahin Sham Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Hatim Ali Mehr. Chain Pahlu Mein Use Subh Nahin Sham Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Chain Pahlu Mein Use Subh Nahin Sham Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

چین پہلو میں اسے صبح نہیں شام نہیں

حاتم علی مہر

چین پہلو میں اسے صبح نہیں شام نہیں

ایک دم بھی دل بیمار کو آرام نہیں

رخ پر نور نہیں زلف سیہ فام نہیں

وہ زمانہ نہیں وہ صبح نہیں شام نہیں

شہروں شہروں مری رسوائی کا شہرا پہنچا

مجھ سا دنیا میں کوئی عاشق بد نام نہیں

چاند ہی تاروں کی جھرمٹ میں ذرا دیکھ اے دل

گوں میں شوخ‌‌ نصارا کی یہ بو تام نہیں

واعظوں جائے جہنم میں فضائے جنت

خار ہیں گل میری نظروں میں جو گلفام نہیں

نالے کرتا ہوں کبھی یا کبھی تدبیر وصال

اور تو ہجر کی شب میں مجھے کچھ کام نہیں

فصل گل آئی تو کیا بے سر و ساماں ہیں ہم

شیشہ و جام نہیں ساقئ گل فام نہیں

دل گیا دین گیا جان گئی الفت میں

اور آغاز ہی دیکھا ابھی انجام نہیں

بوسے دو تین تو لے لینے دی مجھ کو للٰلہ

کام کے وقت نہ کر او بت خود کام نہیں

لخلخلہ کی عوض اس زلف کی بو سونگھوں گا

ہے تپ عشق میں سودا مجھے سرسام نہیں

نزع میں دیکھ کے جیتا ہوں ترے کوٹھے کو

لب عیسیٰ ہے یہ اے جان لب بام نہیں

مہرؔ بے لطف ہے بزم‌ شعرا بے معشوق

بلبلیں چہچہے میں ہیں کوئی گلفام نہیں

حاتم علی مہر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Chain Pahlu Mein Use Subh Nahin Sham Nahin

Hatim Ali Mehr

chain pahlu mein use subh nahin sham nahin
ek dam bhi dil-e-bimar ko aaram nahin

ruKH par nur nahin zulf-e-siyah-fam nahin
wo zamana nahin wo subh nahin sham nahin

shahron shahron meri ruswai ka shohra pahuncha
mujh sa duniya mein koi aashiq-e-bad-nam nahin

chand hi taron ki jhurmuT mein zara dekh ai dil
gon mein shoKH-e-nasara ki ye bu-tam nahin

waizon jae jahannam mein faza-e-jannat
KHar hain gul meri nazron mein jo gulfam nahin

nale karta hun kabhi ya kabhi tadbir-e-visal
aur to hijr ki shab mein mujhe kuchh kaam nahin

fasl-e-gul aai to kya be-sar-o-saman hain hum
shisha-o-jam nahin saqi-e-gul-fam nahin

dil gaya din gaya jaan gai ulfat mein
aur aaghaz hi dekha abhi anjam nahin

bose do tin to le lene di mujh ko lillah
kaam ke waqt na kar o but KHud kaam nahin

laKHlaKHa ki ewaz us zulf ki bu sughunga
hai tap-e-ishq mein sauda mujhe sarsam nahin

naza mein dekh ke jita hun tere koThe ko
lab-e-isa hai ye ai jaan lab-e-baam nahin

'mehr' be-lutf hai bazm-e-shoara be-mashuq
bulbulen chahchahe mein hain koi gulfam nahin

(679) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Chain Pahlu Mein Use Subh Nahin Sham Nahin written by Hatim Ali Mehr at UrduPoint. Chain Pahlu Mein Use Subh Nahin Sham Nahin is one of the masterpieces written by Hatim Ali Mehr. You can also find the complete poetry collection of Hatim Ali Mehr by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Hatim Ali Mehr' above.

Chain Pahlu Mein Use Subh Nahin Sham Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Chain Pahlu Mein Use Subh Nahin Sham Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.