Poshak-e-siyah Mein RuKH-e-jaanan Nazar Aaya, Urdu Ghazal By Hatim Ali Mehr

Poshak-e-siyah Mein RuKH-e-jaanan Nazar Aaya is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Hatim Ali Mehr. Poshak-e-siyah Mein RuKH-e-jaanan Nazar Aaya comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Poshak-e-siyah Mein RuKH-e-jaanan Nazar Aaya on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

پوشاک سیہ میں رخ جاناں نظر آیا

حاتم علی مہر

پوشاک سیہ میں رخ جاناں نظر آیا

شب کو ہمیں خورشید درخشاں نظر آیا

دیکھا نہ کہیں کفر نہ ایماں نظر آیا

ہندو کوئی پایا نہ مسلماں نظر آیا

ملبوس سیہ میں رخ جاناں نظر آیا

ظلمات میں یاں چشمۂ حیواں نظر آیا

بالوں میں چھپا چہرۂ جاناں نظر آیا

پردہ میں یہاں کفر کے ایماں نظر آیا

پھر جوش جنوں سلسلۂ جنباں نظر آیا

پھر بے سر و سامانی کا ساماں نظر آیا

پریاں جسے کاندھے پہ اٹھاتی تھیں ہمیشہ

برباد وہ اورنگ سلیماں نظر آیا

باایں ہمہ وسعت بھی ہے کیا خوان فلک تنگ

آسودہ نہ اس کا کوئی مہماں نظر آیا

آنکھوں کے تلے پھر گیا وہ آہوئے‌ شہری

جنگل میں جو آہوئے‌ بیاباں نظر آیا

مجمع میں رقیبوں کے کھلا تھا ترا جوڑا

کل رات عجب خواب پریشاں نظر آیا

جس دشت میں پھوٹے ہیں مرے آبلہ پا

کوسوں وہی سرسبز نیستاں نظر آیا

تا سال دگر مے کہ خورد زندہ کہ ماند

ماہ رمضان ساقیٔ دوراں نظر آیا

دیوانہ ہوں پر کام میں ہوشیار ہوں اپنے

یوسف کا خیال آیا جو زنداں نظر آیا

شوخ‌ مژۂ برگشتہ کی دیکھی نگہ قہر

آہو بھی مجھے شیر نیستاں نظر آیا

مایوس پھری آتی ہیں کیوں میری دعائیں

کیا باب اجابت پہ بھی درباں نظر آیا

میں زار مہ نو ہوں کہ اس نے مجھے اے مہرؔ

جب غور سے دیکھا تو کہا ہاں نظر آیا

حاتم علی مہر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Poshak-e-siyah Mein RuKH-e-jaanan Nazar Aaya

Hatim Ali Mehr

poshak-e-siyah mein ruKH-e-jaanan nazar aaya
shab ko hamein KHurshid daraKHshan nazar aaya

dekha na kahin kufr na iman nazar aaya
hindu koi paya na musalman nazar aaya

malbus-e-siyah mein ruKH-e-jaanan nazar aaya
zulmat mein yan chashma-e-haiwan nazar aaya

baalon mein chhupa chehra-e-jaanan nazar aaya
parda mein yahan kufr ke iman nazar aaya

phir josh-e-junun silsila-e-jumba nazar aaya
phir be-sar-o-samani ka saman nazar aaya

pariyan jise kandhe pe uThati thin hamesha
barbaad wo aurang-e-sulaiman nazar aaya

bain-hama wusat bhi hai kya KHwan-e-falak-tang
aasuda na us ka koi mehman nazar aaya

aankhon ke tale phir gaya wo aahu-e-shahri
jangal mein jo aahu-e-bayaban nazar aaya

majma mein raqibon ke khula tha tera joDa
kal raat ajab KHwab-e-pareshan nazar aaya

jis dasht mein phuTe hain mere aabla-pa
koson wahi sarsabz-e-nistan nazar aaya

ta-sal-e-digar mai ki KHurd zinda ki mand
mah-e-ramzan saqi-e-dauran nazar aaya

diwana hun par kaam mein hoshiyar hun apne
yusuf ka KHayal aaya jo zindan nazar aaya

shoKH-e-mizha-e-bargashta ki dekhi nigah-e-qahr
aahu bhi mujhe sher-e-niystan nazar aaya

mayus phiri aati hain kyun meri duaen
kya bab-e-ijabat pe bhi darban nazar aaya

main zar-e-mah-e-nau hun ki us ne mujhe ai 'mehr'
jab ghaur se dekha to kaha han nazar aaya

(714) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Poshak-e-siyah Mein RuKH-e-jaanan Nazar Aaya written by Hatim Ali Mehr at UrduPoint. Poshak-e-siyah Mein RuKH-e-jaanan Nazar Aaya is one of the masterpieces written by Hatim Ali Mehr. You can also find the complete poetry collection of Hatim Ali Mehr by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Hatim Ali Mehr' above.

Poshak-e-siyah Mein RuKH-e-jaanan Nazar Aaya is a widely read Urdu Ghazal. If you like Poshak-e-siyah Mein RuKH-e-jaanan Nazar Aaya, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.