Tum Bhi Nigah Mein Ho Adu Bhi Nazar Mein Hai, Urdu Ghazal By Hijr Nazim Ali Khan

Tum Bhi Nigah Mein Ho Adu Bhi Nazar Mein Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Hijr Nazim Ali Khan. Tum Bhi Nigah Mein Ho Adu Bhi Nazar Mein Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Tum Bhi Nigah Mein Ho Adu Bhi Nazar Mein Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

تم بھی نگاہ میں ہو عدو بھی نظر میں ہے

ہجر ناظم علی خان

تم بھی نگاہ میں ہو عدو بھی نظر میں ہے

دنیا ہمارے دیدۂ حسرت نگر میں ہے

ہاں جانتے ہیں جان کا خواہاں تمہیں کو ہم

معلوم ہے کہ تیغ تمہاری کمر میں ہے

کیا رشک ہے کہ ایک کا ہے ایک مدعی

تم دل میں ہو تو درد ہمارے جگر میں ہے

گو غیر کی بغل میں سہی وہ پری جمال

میں تو یہی کہوں گا کہ میری نظر میں ہے

دونوں نے درد عشق کو تقسیم کر لیا

تھوڑا سا دل میں ہے تو ذرا سا جگر میں ہے

میں بھی ہوں آج میں کہ بر آئی مراد دل

دل بھی ہے آج دل کہ وہ مہمان گھر میں ہے

ممنون ہوں خیال کا اپنے شب فراق

جو سامنے نظر کے نہیں وہ نظر میں ہے

دلبر ہو ایک تم کہ ہماری نظر میں ہو

دل ہے ہمارا دل کہ تمہاری نظر میں ہے

کہتے ہیں جس کو دل مرے پہلو میں اب کہاں

ہے بھی تو پائمال کسی رہ گزر میں ہے

دیکھو تو دیکھتے ہیں تمہیں کس نگاہ سے

حسرت ہے جس کا نام ہماری نظر میں ہے

جس پر پڑی پسیج گیا موم ہو گیا

ڈوبی ہوئی نگاہ ہماری اثر میں ہے

جچتا نہیں نگاہ میں کوئی حسیں بھی ہجرؔ

جب سے کسی کی چاند سی صورت نظر میں ہے

ہجر ناظم علی خان

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Tum Bhi Nigah Mein Ho Adu Bhi Nazar Mein Hai

Hijr Nazim Ali Khan

tum bhi nigah mein ho adu bhi nazar mein hai
duniya hamare dida-e-hasrat-nagar mein hai

han jaante hain jaan ka KHwahan tumhin ko hum
malum hai ki tegh tumhaari kamar mein hai

kya rashk hai ki ek ka hai ek muddai
tum dil mein ho to dard hamare jigar mein hai

go ghair ki baghal mein sahi wo pari-jamal
main to yahi kahunga ki meri nazar mein hai

donon ne dard-e-ishq ko taqsim kar liya
thoDa sa dil mein hai to zara sa jigar mein hai

main bhi hun aaj main ki bar aai murad-e-dil
dil bhi hai aaj dil ki wo mehman ghar mein hai

mamnun hun KHayal ka apne shab-e-firaq
jo samne nazar ke nahin wo nazar mein hai

dilbar ho ek tum ki hamari nazar mein ho
dil hai hamara dil ki tumhaari nazar mein hai

kahte hain jis ko dil mere pahlu mein ab kahan
hai bhi to paemal kisi rahguzar mein hai

dekho to dekhte hain tumhein kis nigah se
hasrat hai jis ka nam hamari nazar mein hai

jis par paDi pasij gaya mom ho gaya
Dubi hui nigah hamari asar mein hai

jachta nahin nigah mein koi hasin bhi 'hijr'
jab se kisi ki chand si surat nazar mein hai

(723) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Tum Bhi Nigah Mein Ho Adu Bhi Nazar Mein Hai written by Hijr Nazim Ali Khan at UrduPoint. Tum Bhi Nigah Mein Ho Adu Bhi Nazar Mein Hai is one of the masterpieces written by Hijr Nazim Ali Khan. You can also find the complete poetry collection of Hijr Nazim Ali Khan by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Hijr Nazim Ali Khan' above.

Tum Bhi Nigah Mein Ho Adu Bhi Nazar Mein Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Tum Bhi Nigah Mein Ho Adu Bhi Nazar Mein Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.