Farogh-e-dida-wari Ka Zamana Aaya Hai, Urdu Ghazal By Hurmatul Ikaram

Farogh-e-dida-wari Ka Zamana Aaya Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Hurmatul Ikaram. Farogh-e-dida-wari Ka Zamana Aaya Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Farogh-e-dida-wari Ka Zamana Aaya Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

فروغ دیدہ وری کا زمانہ آیا ہے

حرمت الااکرام

فروغ دیدہ وری کا زمانہ آیا ہے

دلوں کی بے خبری کا زمانہ آیا ہے

خرد سے کہہ دو کہ تنہا نہ کٹ سکے گی یہ راہ

جنوں کی ہم سفری کا زمانہ آیا ہے

پہناؤ لالہ و نسریں کو تاج کانٹوں کا

طلسم خوش نظری کا زمانہ آیا ہے

نوید دی ہے یہ محرومیٔ محبت نے

دعا کی بے اثری کا زمانہ آیا ہے

نکھار آنے لگا پھر خرابۂ جاں پر

یہ کس کی جلوہ گری کا زمانہ آیا ہے

کہو صبا سے یہ وارفتہ حالیاں چھوڑے

شعور نامہ بری کا زمانہ آیا ہے

کہاں وہ دور کہ یک گونہ بے خودی مانگیں

سرور خود نگری کا زمانہ آیا ہے

بہار لائی ہے اب کے پیام اور ہی کچھ

دلوں کی بخیہ‌ گری کا زمانہ آیا ہے

سکوت نیم شبی سے گزر چلو حرمتؔ

کہ نالۂ سحری کا زمانہ آیا ہے

حرمت الااکرام

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Farogh-e-dida-wari Ka Zamana Aaya Hai

Hurmatul Ikaram

farogh-e-dida-wari ka zamana aaya hai
dilon ki be-KHabari ka zamana aaya hai

KHirad se kah do ki tanha na kaT sakegi ye rah
junun ki ham-safari ka zamana aaya hai

pahnao lala-o-nasrin ko taj kanTon ka
tilism-e-KHush-nazari ka zamana aaya hai

nawed di hai ye mahrumi-e-mohabbat ne
dua ki be-asari ka zamana aaya hai

nikhaar aane laga phir KHaraba-e-jaan par
ye kis ki jalwagari ka zamana aaya hai

kaho saba se ye warafta-haaliyan chhoDe
shuur-e-nama-bari ka zamana aaya hai

kahan wo daur ki yak-guna be-KHudi mangen
surur-e-KHud-nigri ka zamana aaya hai

bahaar lai hai ab ke payam aur hi kuchh
dilon ki baKHiya-giri ka zamana aaya hai

sukut-e-nim-shabi se guzar chalo 'hurmat'
ki nala-e-sahari ka zamana aaya hai

(731) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Farogh-e-dida-wari Ka Zamana Aaya Hai written by Hurmatul Ikaram at UrduPoint. Farogh-e-dida-wari Ka Zamana Aaya Hai is one of the masterpieces written by Hurmatul Ikaram. You can also find the complete poetry collection of Hurmatul Ikaram by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Hurmatul Ikaram' above.

Farogh-e-dida-wari Ka Zamana Aaya Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Farogh-e-dida-wari Ka Zamana Aaya Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.