Shauq Jab Bhi Bandagi Ka Rahnuma Hota Nahin, Urdu Ghazal By Ibn E Mufti

Shauq Jab Bhi Bandagi Ka Rahnuma Hota Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ibn E Mufti. Shauq Jab Bhi Bandagi Ka Rahnuma Hota Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Shauq Jab Bhi Bandagi Ka Rahnuma Hota Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

شوق جب بھی بندگی کا رہنما ہوتا نہیں

ابن مفتی

شوق جب بھی بندگی کا رہنما ہوتا نہیں

زندگی سے زندگی کا حق ادا ہوتا نہیں

کیا سمجھ آئیں گی تم کو عشق کی باریکیاں

دل تمہارا جب تلک درد آشنا ہوتا نہیں

روح و تن کا عشق یہ قائم رہے گا دائمی

ختم بعد مرگ بھی یہ سلسلہ ہوتا نہیں

کون ہے جو جرم کرنے کو ہے شب کا منتظر

روشنی میں دن کی یارو کیا بھلا ہوتا نہیں

غالباً ہوتا مجھے بھی گھر کے گرنے کا گلہ

راہگیروں کا اگر یہ راستہ ہوتا نہیں

بد گمانی کی فضا میں کیا صفائی دیں تمہیں

اس فضا میں کوئی بھی حل مسئلہ ہوتا نہیں

اک ذرا سی بات پہ یہ منہ بنانا روٹھنا

اس طرح تو کوئی اپنوں سے خفا ہوتا نہیں

کوئی گستاخی تو کی ہے ناؤ نے گرداب سے

ورنہ یوں ساحل پہ کوئی غمزدہ ہوتا نہیں

کمرۂ تقدیر میں آتی عروس آرزو

وقت ناہنجار کا جو فیصلہ ہوتا نہیں

آنکھ سے پینے کا بھی ساقی نے مانگا ہے حساب

اس روش سے یارو کوئی مے کدہ ہوتا نہیں

مفتیؔ دیکھو مہر پلٹا ہے مری تقدیر کا

دیکھتے ہیں کس طرح سجدہ ادا ہوتا نہیں

ابن مفتی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Shauq Jab Bhi Bandagi Ka Rahnuma Hota Nahin

Ibn E Mufti

shauq jab bhi bandagi ka rahnuma hota nahin
zindagi se zindagi ka haq ada hota nahin

kya samajh aaengi tum ko ishq ki barikiyan
dil tumhaara jab talak dard-ashna hota nahin

ruh o tan ka ishq ye qaem rahega daimi
KHatm baad-e-marg bhi ye silsila hota nahin

kaun hai jo jurm karne ko hai shab ka muntazir
raushni mein din ki yaro kya bhala hota nahin

ghaaliban hota mujhe bhi ghar ke girne ka gila
rahgiron ka agar ye rasta hota nahin

bad-gumani ki faza mein kya safai den tumhein
is faza mein koi bhi hal masala hota nahin

ek zara si baat pe ye munh banana ruThna
is tarah to koi apnon se KHafa hota nahin

koi gustaKHi to ki hai naw ne girdab se
warna yun sahil pe koi gham-zada hota nahin

kamra-e-taqdir mein aati urus-e-arzu
waqt-e-na-hanjar ka jo faisla hota nahin

aankh se pine ka bhi saqi ne manga hai hisab
is rawish se yaro koi mai-kada hota nahin

'mufti' dekho mahr palTa hai meri taqdir ka
dekhte hain kis tarah sajda ada hota nahin

(574) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Shauq Jab Bhi Bandagi Ka Rahnuma Hota Nahin written by Ibn E Mufti at UrduPoint. Shauq Jab Bhi Bandagi Ka Rahnuma Hota Nahin is one of the masterpieces written by Ibn E Mufti. You can also find the complete poetry collection of Ibn E Mufti by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ibn E Mufti' above.

Shauq Jab Bhi Bandagi Ka Rahnuma Hota Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Shauq Jab Bhi Bandagi Ka Rahnuma Hota Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.