KHwab Aankhon Se Zaban Se Har Kahani Le Gaya, Urdu Ghazal By Iffat Zarrin

KHwab Aankhon Se Zaban Se Har Kahani Le Gaya is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Iffat Zarrin. KHwab Aankhon Se Zaban Se Har Kahani Le Gaya comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read KHwab Aankhon Se Zaban Se Har Kahani Le Gaya on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

خواب آنکھوں سے زباں سے ہر کہانی لے گیا

عفت زریں

خواب آنکھوں سے زباں سے ہر کہانی لے گیا

مختصر یہ ہے وہ میری زندگانی لے گیا

پھول سے موسم کی برساتیں ہواؤں کی مہک

اب کے موسم کی وہ سب شامیں سہانی لے گیا

دے گیا مجھ کو سرابوں کا سکوت مستقل

میرے اشکوں سے وہ دریا کی روانی لے گیا

خاک اب اڑنے لگی میدان صحرا ہو گئے

ریت کا طوفان دریاؤں سے پانی لے گیا

کون پہچانے گا زریںؔ مجھ کو اتنی بھیڑ میں

میرے چہرے سے وہ اپنی ہر نشانی لے گیا

عفت زریں

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

KHwab Aankhon Se Zaban Se Har Kahani Le Gaya

Iffat Zarrin

KHwab aankhon se zaban se har kahani le gaya
muKHtasar ye hai wo meri zindagani le gaya

phul se mausam ki barsaten hawaon ki mahak
ab ke mausam ki wo sab shamen suhani le gaya

de gaya mujh ko sarabon ka sukut-e-mustaqil
mere ashkon se wo dariya ki rawani le gaya

KHak ab uDne lagi maidan sahra ho gae
ret ka tufan dariyaon se pani le gaya

kaun pahchanega 'zarrin' mujh ko itni bhiD mein
mere chehre se wo apni har nishani le gaya

(1383) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read KHwab Aankhon Se Zaban Se Har Kahani Le Gaya written by Iffat Zarrin at UrduPoint. KHwab Aankhon Se Zaban Se Har Kahani Le Gaya is one of the masterpieces written by Iffat Zarrin. You can also find the complete poetry collection of Iffat Zarrin by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Iffat Zarrin' above.

KHwab Aankhon Se Zaban Se Har Kahani Le Gaya is a widely read Urdu Ghazal. If you like KHwab Aankhon Se Zaban Se Har Kahani Le Gaya, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.