Naqsh-e-qadam Ke Sath Wo Raste MiTa Ke Rah Gain, Urdu Ghazal By Ilyas Raj Bhatti

Naqsh-e-qadam Ke Sath Wo Raste MiTa Ke Rah Gain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ilyas Raj Bhatti. Naqsh-e-qadam Ke Sath Wo Raste MiTa Ke Rah Gain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Naqsh-e-qadam Ke Sath Wo Raste MiTa Ke Rah Gain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

نقش قدم کے ساتھ وہ رستے مٹا کے رہ گئیں

الیاس راج بھٹّی

نقش قدم کے ساتھ وہ رستے مٹا کے رہ گئیں

اندھے سفر کو آندھیاں کتنا بڑھا کے رہ گئیں

سب کے وجود کے لئے کن کی صدا کے آتے ہی

ارض و سما کی وسعتیں اس میں سما کے رہ گئیں

ہاتھوں سے کانپتے رہے سوکھے ہوئے ثنا کے پھول

پیش اثر دعائیں بھی آنکھیں جھکا کے رہ گئیں

ایک برس تو بھیگ لے صحن بھی چھت کے ساتھ ساتھ

ایسی ہی ایک دو خواہشیں دل کو دکھا کے رہ گئیں

پرسش حال پر ترے لب تو خموش ہی رہے

آنکھوں کو جانے کیا ہوا آنسو گرا کے رہ گئیں

کتنی دعائیں مانگی تھیں ہم نے سحر کے واسطے

اس کی شعاعیں کیا کریں آنکھیں بجھا کے رہ گئیں

دیکھ کے بے ثمر شجر باغ میں راجؔ اس برس

دل کو کئی کہانیاں یاد سی آ کے رہ گئیں

الیاس راج بھٹّی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Naqsh-e-qadam Ke Sath Wo Raste MiTa Ke Rah Gain

Ilyas Raj Bhatti

naqsh-e-qadam ke sath wo raste miTa ke rah gain
andhe safar ko aandhiyan kitna baDha ke rah gain

sab ke wajud ke liye kun ki sada ke aate hi
arz-o-sama ki wusaten us mein sama ke rah gain

hathon se kanpte rahe sukhe hue sana ke phul
pesh-e-asar duaen bhi aankhen jhuka ke rah gain

ek baras to bhig le sahn bhi chhat ke sath sath
aisi hi ek do KHwahishen dil ko dukha ke rah gain

pursish-e-haal par tere lab to KHamosh hi rahe
aankhon ko jaane kya hua aansu gira ke rah gain

kitni duaen mangi thin hum ne sahar ke waste
us ki shuaen kya karen aankhen bujha ke rah gain

dekh ke be-samar shajar bagh mein 'raj is baras
dil ko kai kahaniyan yaad si aa ke rah gain

(388) ووٹ وصول ہوئے

You can read Naqsh-e-qadam Ke Sath Wo Raste MiTa Ke Rah Gain written by Ilyas Raj Bhatti at UrduPoint. Naqsh-e-qadam Ke Sath Wo Raste MiTa Ke Rah Gain is one of the masterpieces written by Ilyas Raj Bhatti. You can also find the complete poetry collection of Ilyas Raj Bhatti by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ilyas Raj Bhatti' above.

Naqsh-e-qadam Ke Sath Wo Raste MiTa Ke Rah Gain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Naqsh-e-qadam Ke Sath Wo Raste MiTa Ke Rah Gain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.