Sab Hamare Liye Zanjir Liye Phirte Hain, Urdu Ghazal By Imam Bakhsh Nasikh

Sab Hamare Liye Zanjir Liye Phirte Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Imam Bakhsh Nasikh. Sab Hamare Liye Zanjir Liye Phirte Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Sab Hamare Liye Zanjir Liye Phirte Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

سب ہمارے لیے زنجیر لیے پھرتے ہیں

امام بخش ناسخ

سب ہمارے لیے زنجیر لیے پھرتے ہیں

ہم سر زلف گرہ گیر لیے پھرتے ہیں

کون تھا صید وفادار کہ اب تک صیاد

بال و پر اس کے ترے تیر لیے پھرتے ہیں

تو جو آئے تو شب تار نہیں یاں ہر سو

مشعلیں نالۂ شب گیر لیے پھرتے ہیں

تیری صورت سے کسی کی نہیں ملتی صورت

ہم جہاں میں تری تصویر لیے پھرتے ہیں

معتکف گرچہ بظاہر ہوں تصور میں مگر

کو بہ کو ساتھ یہ بے پیر لیے پھرتے ہیں

رنگ خوبان جہاں دیکھتے ہی زرد کیا

آپ زور آنکھوں میں اکسیر لیے پھرتے ہیں

جو ہے مرتا ہے بھلا کس کو عداوت ہوگی

آپ کیوں ہاتھ میں شمشیر لیے پھرتے ہیں

سرکشی شمع کی لگتی نہیں گر ان کو بری

لوگ کیوں بزم میں گل گیر لیے پھرتے ہیں

تا گنہ گاری میں ہم کو کوئی مطعوں نہ کرے

ہاتھ میں نامۂ تقدیر لیے پھرتے ہیں

قصر تن کو یوں ہی بنوا یہ بگولے ناسخؔ

خوب ہی نقشۂ تعمیر لیے پھرتے ہیں

امام بخش ناسخ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Sab Hamare Liye Zanjir Liye Phirte Hain

Imam Bakhsh Nasikh

sab hamare liye zanjir liye phirte hain
hum sar-e-zulf-e-girah-gir liye phirte hain

kaun tha said-e-wafadar ki ab tak sayyaad
baal-o-par us ke tere tir liye phirte hain

tu jo aae to shab-e-tar nahin yan har su
mishalen nala-e-shab-gir liye phirte hain

teri surat se kisi ki nahin milti surat
hum jahan mein teri taswir liye phirte hain

moatakif garche ba-zahir hun tasawwur mein magar
ku-ba-ku sath ye be-pir liye phirte hain

rang-e-KHuban-e-jahan dekhte hi zard kiya
aap zor aankhon mein iksir liye phirte hain

jo hai marta hai bhala kis ko adawat hogi
aap kyun hath mein shamshir liye phirte hain

sar-kashi shama ki lagti nahin gar un ko buri
log kyun bazm mein gul-gir liye phirte hain

ta gunahgari mein hum ko koi matun na kare
hath mein nama-e-taqdir liye phirte hain

qasr-e-tan ko yun hi banwa ye bagule 'nasiKH'
KHub hi naqsha-e-tamir liye phirte hain

(507) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Sab Hamare Liye Zanjir Liye Phirte Hain written by Imam Bakhsh Nasikh at UrduPoint. Sab Hamare Liye Zanjir Liye Phirte Hain is one of the masterpieces written by Imam Bakhsh Nasikh. You can also find the complete poetry collection of Imam Bakhsh Nasikh by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Imam Bakhsh Nasikh' above.

Sab Hamare Liye Zanjir Liye Phirte Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Sab Hamare Liye Zanjir Liye Phirte Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.