Ye Jism Zar Hai Yun Pairahan Ke Parde Mein, Urdu Ghazal By Imam Bakhsh Nasikh

Ye Jism Zar Hai Yun Pairahan Ke Parde Mein is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Imam Bakhsh Nasikh. Ye Jism Zar Hai Yun Pairahan Ke Parde Mein comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ye Jism Zar Hai Yun Pairahan Ke Parde Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

یہ جسم زار ہے یوں پیرہن کے پردے میں

امام بخش ناسخ

یہ جسم زار ہے یوں پیرہن کے پردے میں

کہ جیسے روح نہاں ہے بدن کے پردے میں

سوائے اہل سخن ہو مشاہدہ کس کو

نہاں ہے شاہد معنی سخن کے پردے میں

تلاش جس کی ہے دن رات تجھ کو اے غافل

چھپا ہوا ہے وہ تیرے ہی تن کے پردے میں

جو عندلیب کی آنکھوں سے دیکھے وہ سمجھے

ظہور ہے اسی گل کا چمن کے پردے میں

شب سیاہ جدائی میں روشنی ہو کہیں

لگاؤں آگ میں بیت الحزن کے پردے میں

طریق عشق چھڑایا ہے تو نے غارت گر

ملا ہے خضر مجھے راہزن کے پردے میں

لطافت ایسی ہے تجھ میں کہ دیکھتا ہوں صاف

گہر سے دانت ہیں درج دہن کے پردے میں

برنگ زر کوئی کپڑوں میں آگ رہتی ہے

نہ میرے داغ چھپیں گے کفن کے پردے میں

نقاب سے ترے ابرو جو سلخ کو کھل جائیں

تو ماہ نور ہے چرخ کہن کے پردے میں

اگر تم آئے تھے شیریں کے بھیس میں صاحب

تو ساتھ بندہ بھی تھا کوہ کن کے پردے میں

نمود ہو نہ ترے خط عنبر افشاں کی

رہے وہ جلد عذار و ذقن کے پردے میں

چمن میں لائی صبا کس کی بو جو آج شمیم

دمک رہی ہے گل یاسمن کے پردے میں

نظر سے تھا شرر سنگ کی طرح جو نہاں

وہ بت ملا مجھے اک بت شکن کے پردے میں

تمہارے روئے مخطط کا منہ چڑھاتے ہیں

یہ مہر و ماہ پری رو گہن کے پردے میں

ہزاروں پڑ گئے تیر نگاہ سے سوراخ

ہمارے اس بت ناوک فگن کے پردے میں

خبر نہ شام غریبی کی مجھ کو تھی ناسخؔ

چھپی ہوئی تھی یہ صبح وطن کے پردے میں

امام بخش ناسخ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ye Jism Zar Hai Yun Pairahan Ke Parde Mein

Imam Bakhsh Nasikh

ye jism zar hai yun pairahan ke parde mein
ki jaise ruh nihan hai badan ke parde mein

siwae ahl-e-suKHan ho mushahida kis ko
nihan hai shahid-e-mani suKHan ke parde mein

talash jis ki hai din-raat tujh ko ai ghafil
chhupa hua hai wo tere hi tan ke parde mein

jo andalib ki aankhon se dekhe wo samjhe
zuhur hai usi gul ka chaman ke parde mein

shab-e-siyah judai mein raushni ho kahin
lagaun aag main bait-ul-huzan ke parde mein

tariq-e-ishq chhuDaya hai tu ne ghaarat-gar
mila hai KHizr mujhe rahzan ke parde mein

latafat aisi hai tujh mein ki dekhta hun saf
guhar se dant hain durj-e-dahan ke parde mein

ba-rang-e-zar koi kapDon mein aag rahti hai
na mere dagh chhupenge kafan ke parde mein

naqab se tere abru jo salKH ko khul jaen
tu mah-e-nur hai charKH-e-kuhan ke parde mein

agar tum aae the shirin ke bhes mein sahab
to sath banda bhi tha kohkan ke parde mein

numud ho na tere KHatt-e-ambar-e-afshan ki
rahe wo jild ezar-o-zaqan ke parde mein

chaman mein lai saba kis ki bu jo aaj shamim
damak rahi hai gul-e-yasman ke parde mein

nazar se tha sharar-e-sang ki tarah jo nihan
wo but mila mujhe ek but-shikan ke parde mein

tumhaare ru-e-muKHattat ka munh chiDhate hain
ye mehr-o-mah pari-ru gahan ke parde mein

hazaron paD gae tir-e-nigah se suraKH
hamare is but-e-nawak-fagan ke parde mein

KHabar na sham-e-gharibi ki mujh ko thi 'nasiKH'
chhupi hui thi ye subh-e-watan ke parde mein

(477) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ye Jism Zar Hai Yun Pairahan Ke Parde Mein written by Imam Bakhsh Nasikh at UrduPoint. Ye Jism Zar Hai Yun Pairahan Ke Parde Mein is one of the masterpieces written by Imam Bakhsh Nasikh. You can also find the complete poetry collection of Imam Bakhsh Nasikh by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Imam Bakhsh Nasikh' above.

Ye Jism Zar Hai Yun Pairahan Ke Parde Mein is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ye Jism Zar Hai Yun Pairahan Ke Parde Mein, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.