Yun Mujhe Aap Se Ab Karti Hai Taqdir Juda, Urdu Ghazal By Imam Bakhsh Nasikh

Yun Mujhe Aap Se Ab Karti Hai Taqdir Juda is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Imam Bakhsh Nasikh. Yun Mujhe Aap Se Ab Karti Hai Taqdir Juda comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Yun Mujhe Aap Se Ab Karti Hai Taqdir Juda on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

یوں مجھے آپ سے اب کرتی ہے تقدیر جدا

امام بخش ناسخ

یوں مجھے آپ سے اب کرتی ہے تقدیر جدا

جس طرح جنگ میں ہو قبضے سے شمشیر جدا

مس کے زر ہونے سے بہتر ہے کمال انساں

خاکساری ہے جدا اور ہے اکسیر جدا

جائے دنداں لب سوفار ہوئے اے قاتل

دہن زخم سے ہوگا نہ ترا تیر جدا

مرض عشق میں پیٹھ اپنی یہ بستر سے لگی

نہ کبھی صفحہ سے جس شکل ہو تصویر جدا

اے جنوں پاؤں ہیں جب تک یہ تمنا ہے مجھے

کبھی مانند رگوں کے نہ ہو زنجیر جدا

چھوڑوں کیا پیری میں شیریں دہنوں کی صحبت

نہیں ممکن کہ ہوں مل کر شکر و شیر جدا

کہتے ہیں دیکھ کے زلف اس کے رخ تاباں پر

کبھی ہوتا نہیں اس شمع سے گل گیر جدا

جب جدائی کے مضامین مجھے سوجھے ہیں

حرف سے حرف ہوا ہے دم تحریر جدا

کیوں نہ ہو جلوۂ خورشید سے سائے کا وجود

کیا ترے چہرے سے ہو زلف گرہ گیر جدا

مجھ گرفتار جدائی کے جو پاؤں میں پڑی

ہو جنوں حلقے سے ہر حلقۂ زنجیر جدا

میں نے جو درد جدائی سے کیے ہیں نالے

کیجیے تن سے مرا سر پئے تعزیر جدا

تیغ آہن سے سوا ہے برش تیغ زباں

حق کو باطل سے کرے گی تری تقریر جدا

آشنا متحد اس درجہ کہاں ہوتے ہیں

آپ دلگیر ہے ناسخؔ جو ہے دلگیر جدا

امام بخش ناسخ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Yun Mujhe Aap Se Ab Karti Hai Taqdir Juda

Imam Bakhsh Nasikh

yun mujhe aap se ab karti hai taqdir juda
jis tarah jang mein ho qabze se shamshir juda

mas ke zar hone se behtar hai kamal-e-insan
KHaksari hai juda aur hai iksir juda

ja-e-dandan lab-e-sofar hue ai qatil
dahan-e-zaKHm se hoga na tera tir juda

maraz-e-ishq mein piTh apni ye bistar se lagi
na kabhi safha se jis shakl ho taswir juda

ai junun panw hain jab tak ye tamanna hai mujhe
kabhi manind ragon ke na ho zanjir juda

chhoDun kya piri mein shirin-dahanon ki sohbat
nahin mumkin ki hon mil kar shakar-o-shir juda

kahte hain dekh ke zulf us ke ruKH-e-taban par
kabhi hota nahin us shama se gul-gir juda

jab judai ke mazamin mujhe sujhe hain
harf se harf hua hai dam-e-tahrir juda

kyun na ho jalwa-e-KHurshed se sae ka wajud
kya tere chehre se ho zulf-e-girah-gir juda

mujh giraftar-e-judai ke jo panw mein paDi
ho junun halqe se har halqa-e-zanjir juda

main ne jo dard-e-judai se kiye hain nale
kijiye tan se mera sar pa-e-tazir juda

tegh-e-ahan se siwa hai burish-e-tegh-e-zaban
haq ko baatil se karegi teri taqrir juda

aashna muttahid is darja kahan hote hain
aap dil-gir hai 'nasiKH' jo hai dil-gir juda

(660) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Yun Mujhe Aap Se Ab Karti Hai Taqdir Juda written by Imam Bakhsh Nasikh at UrduPoint. Yun Mujhe Aap Se Ab Karti Hai Taqdir Juda is one of the masterpieces written by Imam Bakhsh Nasikh. You can also find the complete poetry collection of Imam Bakhsh Nasikh by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Imam Bakhsh Nasikh' above.

Yun Mujhe Aap Se Ab Karti Hai Taqdir Juda is a widely read Urdu Ghazal. If you like Yun Mujhe Aap Se Ab Karti Hai Taqdir Juda, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.