Raat Charagh Ki Mahfil Mein Shamil Ek Zamana Tha, Urdu Ghazal By Imdad Nizaamii

Raat Charagh Ki Mahfil Mein Shamil Ek Zamana Tha is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Imdad Nizaamii. Raat Charagh Ki Mahfil Mein Shamil Ek Zamana Tha comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Raat Charagh Ki Mahfil Mein Shamil Ek Zamana Tha on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

رات چراغ کی محفل میں شامل ایک زمانہ تھا

امداد نظامی

رات چراغ کی محفل میں شامل ایک زمانہ تھا

لیکن ساتھ میں جلنے والی رات تھی یا پروانہ تھا

خضر نہیں رہزن ہی ہوگا راہ میں جس نے لوٹ لیا

لیکن یارو شک ہوتا ہے کچھ جانا پہچانا تھا

شب بھر جس روداد و الم پر اشک بہاتے گزری تھی

صبح ہوئی تو ہم نے جانا اپنا ہی افسانہ تھا

کون ہمارے درد کو سمجھا کس نے غم میں ساتھ دیا

کہنے کو تو ساتھ ہمارے تم کیا ایک زمانہ تھا

لوگ اسے جو چاہیں کہہ لیں اپنا تو یہ حال رہا

صرف انہیں سے زخم ملے ہیں جن سے کچھ یارانہ تھا

مصلحتوں کی اس بستی میں لب کھلتے یہ تاب نہ تھی

وضع جنوں کی بات نہ پوچھو وہ بھی ایک بہانہ تھا

تلخئ غم پہنچے تھے بھلانے سود و زیاں میں الجھے ہیں

بادہ فروشوں کی منڈی تھی نام مگر مے خانہ تھا

جن کی خاطر ہم نے اپنا ذوق طلب بدنام کیا

آج وہی کہتے ہیں ہنس کر شاعر تھا دیوانہ تھا

امداد نظامی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Raat Charagh Ki Mahfil Mein Shamil Ek Zamana Tha

Imdad Nizaamii

raat charagh ki mahfil mein shamil ek zamana tha
lekin sath mein jalne wali raat thi ya parwana tha

KHizar nahin rahzan hi hoga rah mein jis ne luT liya
lekin yaro shak hota hai kuchh jaana pahchana tha

shab-bhar jis rudad-o-alam par ashk bahate guzri thi
subh hui to hum ne jaana apna hi afsana tha

kaun hamare dard ko samjha kis ne gham mein sath diya
kahne ko to sath hamare tum kya ek zamana tha

log use jo chahen kah len apna to ye haal raha
sirf unhin se zaKHm mile hain jin se kuchh yarana tha

maslahaton ki is basti mein lab khulte ye tab na thi
waz-e-junun ki baat na puchho wo bhi ek bahana tha

talKHi-e-gham pahunche the bhulane sud-o-ziyan mein uljhe hain
baada-faroshon ki manDi thi nam magar mai-KHana tha

jin ki KHatir hum ne apna zauq-e-talab badnam kiya
aaj wahi kahte hain hans kar shair tha diwana tha

(375) ووٹ وصول ہوئے

You can read Raat Charagh Ki Mahfil Mein Shamil Ek Zamana Tha written by Imdad Nizaamii at UrduPoint. Raat Charagh Ki Mahfil Mein Shamil Ek Zamana Tha is one of the masterpieces written by Imdad Nizaamii. You can also find the complete poetry collection of Imdad Nizaamii by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Imdad Nizaamii' above.

Raat Charagh Ki Mahfil Mein Shamil Ek Zamana Tha is a widely read Urdu Ghazal. If you like Raat Charagh Ki Mahfil Mein Shamil Ek Zamana Tha, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.