Aayat Hijr Ki Bayan Tafsir Ki Nahin, Urdu Ghazal By Imran Mahmood Mani

Aayat Hijr Ki Bayan Tafsir Ki Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Imran Mahmood Mani. Aayat Hijr Ki Bayan Tafsir Ki Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Aayat Hijr Ki Bayan Tafsir Ki Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

آیات ہجر کی بیاں تفسیر کی نہیں

عمران محمود مانی

آیات ہجر کی بیاں تفسیر کی نہیں

دل پر گزرتی جو بھی وہ تحریر کی نہیں

کوئی تو بھید ہوگا خموشی کے آس پاس

جلتی ہوئی نگاہ نے تقریر کی نہیں

دستک ترے جمال نے جب بھی ذہن پہ دی

اٹھ کر گلے لگا لیا تاخیر کی نہیں

تجھ کو رکھا سنبھال کے پتلی کے درمیاں

اوجھل کبھی نگاہ سے تصویر کی نہیں

میں تو تمہاری قید میں جیتا ہوں رات دن

ڈھیلی کبھی خیال نے زنجیر کی نہیں

دل میں رکھا تجھے جو تو پوجا ہے اپنا آپ

پھر میں نے اپنی ذات کی تحقیر کی نہیں

تیری جفا کی بخشی نشانی سنبھال لی

مٹتے ہوئے وجود کی تعمیر کی نہیں

دیکھا جو پورا خواب ادھورا ہی رہ گیا

میں نے بھی پھر عیاں کبھی تعبیر کی نہیں

واحد وجود تیرے سے روشن ہے میرا دل

تجھ بن کسی کو چاہوں یہ تقصیر کی نہیں

عمران محمود مانی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Aayat Hijr Ki Bayan Tafsir Ki Nahin

Imran Mahmood Mani

aayat hijr ki bayan tafsir ki nahin
dil par guzarti jo bhi wo tahrir ki nahin

koi to bhed hoga KHamoshi ke aas-pas
jalti hui nigah ne taqrir ki nahin

dastak tere jamal ne jab bhi zehn pe di
uTh kar gale laga liya taKHir ki nahin

tujh ko rakha sanbhaal ke putli ke darmiyan
ojhal kabhi nigah se taswir ki nahin

main to tumhaari qaid mein jita hun raat-din
Dhili kabhi KHayal ne zanjir ki nahin

dil mein rakha tujhe jo to puja hai apna aap
phir main ne apni zat ki tahqir ki nahin

teri jafa ki baKHshi nishani sanbhaal li
miTte hue wajud ki tamir ki nahin

dekha jo pura KHwab adhura hi rah gaya
main ne bhi phir ayan kabhi tabir ki nahin

wahid wajud tere se raushan hai mera dil
tujh bin kisi ko chahun ye taqsir ki nahin

(814) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Aayat Hijr Ki Bayan Tafsir Ki Nahin written by Imran Mahmood Mani at UrduPoint. Aayat Hijr Ki Bayan Tafsir Ki Nahin is one of the masterpieces written by Imran Mahmood Mani. You can also find the complete poetry collection of Imran Mahmood Mani by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Imran Mahmood Mani' above.

Aayat Hijr Ki Bayan Tafsir Ki Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Aayat Hijr Ki Bayan Tafsir Ki Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.