Subh-e-qayamat Jaan Se Guzarne Lagti Hai, Urdu Ghazal By Imtiyaz Saghar

Subh-e-qayamat Jaan Se Guzarne Lagti Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Imtiyaz Saghar. Subh-e-qayamat Jaan Se Guzarne Lagti Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Subh-e-qayamat Jaan Se Guzarne Lagti Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

صبح قیامت جاں سے گزرنے لگتی ہے

امتیاز ساغر

صبح قیامت جاں سے گزرنے لگتی ہے

تیز چلوں تو سانس بکھرنے لگتی ہے

شہر جاں میں عشق کی شمعیں بجھتے ہی

قطرہ قطرہ رات اترنے لگتی ہے

کبھی کبھی یہ زخم کھلاتی پروائی

رنگ مری تصویر میں بھرنے لگتی ہے

رات کی آنکھیں بجھتے بجھتے محفل میں

پروانوں کی خاک بکھرنے لگتی ہے

اذن حضوری اس در سے مل جائے اگر

پتھر پہ تصویر ابھرنے لگتی ہے

اتنی خوش نظری بھی ساغرؔ ٹھیک نہیں

آنکھ کبھی تعبیر سے ڈرنے لگتی ہے

امتیاز ساغر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Subh-e-qayamat Jaan Se Guzarne Lagti Hai

Imtiyaz Saghar

subh-e-qayamat jaan se guzarne lagti hai
tez chalun to sans bikharne lagti hai

shahr-e-jaan mein ishq ki shamen bujhte hi
qatra qatra raat utarne lagti hai

kabhi kabhi ye zaKHm khilati purwai
rang meri taswir mein bharne lagti hai

raat ki aankhen bujhte bujhte mahfil mein
parwanon ki KHak bikharne lagti hai

izn-e-huzuri us dar se mil jae agar
patthar pe taswir ubharne lagti hai

itni KHush-nazari bhi 'saghar' Thik nahin
aankh kabhi tabir se Darne lagti hai

(533) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Subh-e-qayamat Jaan Se Guzarne Lagti Hai written by Imtiyaz Saghar at UrduPoint. Subh-e-qayamat Jaan Se Guzarne Lagti Hai is one of the masterpieces written by Imtiyaz Saghar. You can also find the complete poetry collection of Imtiyaz Saghar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Imtiyaz Saghar' above.

Subh-e-qayamat Jaan Se Guzarne Lagti Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Subh-e-qayamat Jaan Se Guzarne Lagti Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.