Yun Wafa Ke Sare Nibhao Gham Ki Fareb Mein Bhi Yaqin Ho, Urdu Ghazal By Indira Varma

Yun Wafa Ke Sare Nibhao Gham Ki Fareb Mein Bhi Yaqin Ho is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Indira Varma. Yun Wafa Ke Sare Nibhao Gham Ki Fareb Mein Bhi Yaqin Ho comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Yun Wafa Ke Sare Nibhao Gham Ki Fareb Mein Bhi Yaqin Ho on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

یوں وفا کے سارے نبھاؤ غم کہ فریب میں بھی یقین ہو

اندرا ورما

یوں وفا کے سارے نبھاؤ غم کہ فریب میں بھی یقین ہو

کوئی بات ایسی کہو صنم کہ فریب میں بھی یقین ہو

یہ دیار شیشہ فروش ہے یہاں آئینوں کی بساط کیا

یہاں اس طرح سے رکھو قدم کہ فریب میں بھی یقین ہو

مری چاہتوں میں غرور ہو دل ناتواں میں سرور ہو

تمہیں اب کے کھانا ہے وہ قسم کہ فریب میں بھی یقین ہو

یہی بات کہہ دو پکار کے وہی سلسلے رہیں پیار کے

اسی ناز میں رہے پھر بھرم کہ فریب میں بھی یقین ہو

مرے عشق کا یہ معیار ہو کہ وصال بھی نہ شمار ہو

اسی اعتبار پہ ہو کرم کہ فریب میں بھی یقین ہو

مرے انتظار کو کیا خبر تمہیں اختیار ہے اس قدر

مجھے دو سلیقہ یہ کم سے کم کہ فریب میں بھی یقین ہو

جہاں ذکر مہر و وفا ملے وہیں اندراؔ کا قلم چلے

یہ کتاب عشق میں ہو رقم کہ فریب میں بھی یقین ہو

اندرا ورما

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Yun Wafa Ke Sare Nibhao Gham Ki Fareb Mein Bhi Yaqin Ho

Indira Varma

yun wafa ke sare nibhao gham ki fareb mein bhi yaqin ho
koi baat aisi kaho sanam ki fareb mein bhi yaqin ho

ye dayar-e-shisha-farosh hai yahan aainon ki bisat kya
yahan is tarah se rakho qadam ki fareb mein bhi yaqin ho

meri chahaton mein ghurur ho dil-e-na-tawan mein surur ho
tumhein ab ke khana hai wo qasam ki fareb mein bhi yaqin ho

yahi baat kah do pukar ke wahi silsile rahen pyar ke
isi naz mein rahe phir bharam ki fareb mein bhi yaqin ho

mere ishq ka ye meyar ho ki visal bhi na shumar ho
isi e'tibar pe ho karam ki fareb mein bhi yaqin ho

mere intizar ko kya KHabar tumhein iKHtiyar hai is qadar
mujhe do saliqa ye kam se kam ki fareb mein bhi yaqin ho

jahan zikr-e-mehr-o-wafa mile wahin 'indira' ka qalam chale
ye kitab-e-ishq mein ho raqam ki fareb mein bhi yaqin ho

(685) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Yun Wafa Ke Sare Nibhao Gham Ki Fareb Mein Bhi Yaqin Ho written by Indira Varma at UrduPoint. Yun Wafa Ke Sare Nibhao Gham Ki Fareb Mein Bhi Yaqin Ho is one of the masterpieces written by Indira Varma. You can also find the complete poetry collection of Indira Varma by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Indira Varma' above.

Yun Wafa Ke Sare Nibhao Gham Ki Fareb Mein Bhi Yaqin Ho is a widely read Urdu Ghazal. If you like Yun Wafa Ke Sare Nibhao Gham Ki Fareb Mein Bhi Yaqin Ho, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.