Bhale Aadmi Kahin Baz Aa Are Us Pari Ke Suhag Se, Urdu Ghazal By Insha Allah Khan Insha

Bhale Aadmi Kahin Baz Aa Are Us Pari Ke Suhag Se is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Insha Allah Khan Insha. Bhale Aadmi Kahin Baz Aa Are Us Pari Ke Suhag Se comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Bhale Aadmi Kahin Baz Aa Are Us Pari Ke Suhag Se on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

بھلے آدمی کہیں باز آ ارے اس پری کے سہاگ سے

انشا اللہ خاں انشا

بھلے آدمی کہیں باز آ ارے اس پری کے سہاگ سے

کہ بنا ہوا ہو جو خاک سے اسے کیا مناسبت آگ سے

بہت اپنی تاک بلند تھی کوئی بیس گز کی کمند تھی

پر اچھال پھاندا وہ بند تھی ترے چوکیداروں کی جاگ سے

بہت آئے مہرے کڑے کڑے وہ جو منڈ جی تھے بڑے بڑے

ولے ایسے تو نہ نظر پڑے کہ جو صاف پاک ہوں لاگ سے

وہ سیاہ بخت جو رات کو ترے دام زلف میں پھنس گیا

اسے آ کے وہم و خیال کے لگے ڈسنے سیکڑوں ناگ سے

بھرا میں نے بندرابن میں جو ارے کشن ہوپ کا نعرہ تو

مہاراج ناچتے کودتے چلے آئے لٹ پٹی پاگ سے

لگے کہنے کھیم کُسل اسے جو علیؔ کے دھیان کے بیچ ہے

تورے دکھ دلدر جتی تھے گئے بھاگ آپ کے بھاگ سے

ہوئے عاشق ان کے ہیں مرد و زن یہ انوکھی ان کی بھی کچھ نہیں

کوئی تازہ آئے ہیں برہمن یہ جو کاشی اور پراگ سے

تجھے چاہتے نہیں ہم ہیں بس انہوں کو بھی تو تری ہوس

وہ جو بھکڑے بیر سے سو برس کے پرانے بوڑھے ہیں داگ سے

اے لو آئے آئے سوائے کچھ نہیں بات دھیان میں چڑھتی کچھ

کچھ اک ان فقیروں کی مجلسیں بھی تو ملتی جلتی ہیں بھاگ سے

مجھے کام ان کے جمال سے نہ تو ٹپّے سے نہ خیال سے

نہ تو وجد سے نہ تو حال سے نہ تو ناچ سے نہ تو راگ سے

یہ سعادت اس کو علیؔ نے دی جو وزیر اعظم ہند ہے

کہ بدولت اس کی جہان میں نہیں خوف بکری کو باگ سے

مجھے رحم آتا ہے ایسوں پر بسر اپنے کرتے ہیں وقت جو

کسی پھل سے یا کسی پھول سے کسی پات سے کسی ساگ سے

گتھی ان سروں ہی میں آ گئی مجھے اک عروس کے باس سے

ابھی انشاؔ اپنا ہو بس اگر تو لپٹ ہی جاؤں بہاگ سے

انشا اللہ خاں انشا

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Bhale Aadmi Kahin Baz Aa Are Us Pari Ke Suhag Se

Insha Allah Khan Insha

bhale aadmi kahin baz aa are us pari ke suhag se
ki bana hua ho jo KHak se use kya munasibat aag se

bahut apni tak buland thi koi bis gaz ki kamand thi
par uchhaal phanda wo band thi tere chauki-daron ki jag se

bahut aae mohre kaDe kaDe wo jo munD-ji the baDe baDe
wale aise to na nazar paDe ki jo saf pak hon lag se

wo siyah-baKHt jo raat ko tere dam-e-zulf mein phans gaya
use aa ke wahm-o-KHayal ke lage Dasne saikDon nag se

bhara main ne bindraban mein jo are kishn hop ka nara to
mahaaraj nachte kudte chale aae laT-paTi pag se

lage kahne khem-kusal use jo 'ali' ke dhyan ke bich hai
tore dukh-daliddar jitte the gae bhag aap ke bhag se

hoe aashiq un ke hain mard o zan ye anokhi un ki bhi kuchh nahin
koi taza aae hain barhaman ye jo kashi aur prag se

tujhe chahte nahin hum hain bas unhon ko bhi to teri hawas
wo jo bhakDe ber se sau baras ke purane buDhe hain dag se

ai lo aae aae siwae kuchh nahin baat dhyan mein chaDhti kuchh
kuchh ek in faqiron ki majlisen bhi to milti-julti hain bhag se

mujhe kaam un ke jamal se na to Tappe se na KHayal se
na to wajd se na to haal se na to nach se na to rag se

ye saadat us ko 'ali' ne di jo wazir-e-azam-e-hind hai
ki badaulat us ki jahan mein nahin KHauf bakri ko bag se

mujhe rahm aata hai aison par basar apne karte hain waqt jo
kisi phal se ya kisi phul se kisi pat se kisi sag se

guthi in suron hi mein aa gai mujhe ek urus ke bas se
abhi 'insha' apna ho bas agar to lipaT hi jaun bahag se

(416) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Bhale Aadmi Kahin Baz Aa Are Us Pari Ke Suhag Se written by Insha Allah Khan Insha at UrduPoint. Bhale Aadmi Kahin Baz Aa Are Us Pari Ke Suhag Se is one of the masterpieces written by Insha Allah Khan Insha. You can also find the complete poetry collection of Insha Allah Khan Insha by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Insha Allah Khan Insha' above.

Bhale Aadmi Kahin Baz Aa Are Us Pari Ke Suhag Se is a widely read Urdu Ghazal. If you like Bhale Aadmi Kahin Baz Aa Are Us Pari Ke Suhag Se, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.