Nadan Kahan Tarab Ka Sar-anjam Aur Ishq, Urdu Ghazal By Insha Allah Khan Insha

Nadan Kahan Tarab Ka Sar-anjam Aur Ishq is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Insha Allah Khan Insha. Nadan Kahan Tarab Ka Sar-anjam Aur Ishq comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Nadan Kahan Tarab Ka Sar-anjam Aur Ishq on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ناداں کہاں طرب کا سرانجام اور عشق

انشا اللہ خاں انشا

ناداں کہاں طرب کا سرانجام اور عشق

کچھ بھی تجھے شعور ہے آرام اور عشق

لینے نہ دیویں گے مجھے ٹک چین جیتے جی

دشمن یہ دونو گردش ایام اور عشق

یاں غش ہیں شوق طوف ہیں یاران کعبہ کو

اے نامہ بر تو کہیو یہ پیغام اور عشق

کیا نام لے کے اس کا پکارا کروں کہ یاں

رکھتا ہے ہر زبان میں اک نام اور عشق

پوچھا کسی نے قیس سے تو ہے محمدی

بولا وہ بھر کے آہ کہ اسلام اور عشق

اسباب کائنات سے بس ہو کے بے نوا

انشاؔ نے انتخاب کیا جام اور عشق

انشا اللہ خاں انشا

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Nadan Kahan Tarab Ka Sar-anjam Aur Ishq

Insha Allah Khan Insha

nadan kahan tarab ka sar-anjam aur ishq
kuchh bhi tujhe shuur hai aaram aur ishq

lene na dewenge mujhe Tuk chain jite ji
dushman ye dono gardish-e-ayyam aur ishq

yan ghash hain shauq-e-tauf hain yaran-e-kaba ko
ai nama-bar tu kahiyo ye paigham aur ishq

kya nam le ke us ka pukara karun ki yan
rakhta hai har zaban mein ek nam aur ishq

puchha kisi ne qais se tu hai mohammadi
bola wo bhar ke aah ki islam aur ishq

asbab-e-kaenat se bas ho ke be-nawa
'insha' ne intiKHab kiya jam aur ishq

(414) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Nadan Kahan Tarab Ka Sar-anjam Aur Ishq written by Insha Allah Khan Insha at UrduPoint. Nadan Kahan Tarab Ka Sar-anjam Aur Ishq is one of the masterpieces written by Insha Allah Khan Insha. You can also find the complete poetry collection of Insha Allah Khan Insha by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Insha Allah Khan Insha' above.

Nadan Kahan Tarab Ka Sar-anjam Aur Ishq is a widely read Urdu Ghazal. If you like Nadan Kahan Tarab Ka Sar-anjam Aur Ishq, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.