Wo Samne Jab Aa Jate Hain Sakte Ka Sa Aalam Hota Hai, Urdu Ghazal By Iqbal Sohail

Wo Samne Jab Aa Jate Hain Sakte Ka Sa Aalam Hota Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Iqbal Sohail. Wo Samne Jab Aa Jate Hain Sakte Ka Sa Aalam Hota Hai comes under the Love, Sad, Bewafa, Heart Broken category of Urdu Ghazal. You can read Wo Samne Jab Aa Jate Hain Sakte Ka Sa Aalam Hota Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

وہ سامنے جب آ جاتے ہیں سکتے کا سا عالم ہوتا ہے

اقبال سہیل

وہ سامنے جب آ جاتے ہیں سکتے کا سا عالم ہوتا ہے

اس دل کی تباہی کیا کہئے امرت بھی جسے سم ہوتا ہے

دیتے ہیں اسی کو جام طرب جو جرعہ کش غم ہوتا ہے

کب باغ جہاں ہیں خندۂ گل بے گریۂ شبنم ہوتا ہے

جب ولولہ صادق ہوتا ہے جب عزم مصمم ہوتا ہے

تکمیل کا ساماں غیب سے خود اس وقت فراہم ہوتا ہے

انجام وفا بھی دیکھ لیا اب کس لئے سر خم ہوتا ہے

نازک ہے مزاج حسن بہت سجدے سے بھی برہم ہوتا ہے

یہ آگ دہکتی ہے جتنی اتنا ہی دھواں کم دیتی ہے

احساس ستم بڑھ جاتا ہے تو شور فغاں کم ہوتا ہے

رگ رگ میں نظام فطرت کی رقصاں ہے محبت کی بجلی

ہو لاکھ تضاد اضداد میں بھی اک رابطہ باہم ہوتا ہے

مل جل کے بہ رنگ شیر و شکر دونوں کے نکھرتے ہیں جوہر

دریاؤں کے سنگم سے بڑھ کر تہذیبوں کا سنگم ہوتا ہے

تاراج نشیمن کھیل سہی صیاد مگر اتنا سن لے

جب عشق کی دنیا لٹتی ہے خود حسن کا ماتم ہوتا ہے

دیوانوں کے جیب و دامن کا اڑتا ہے فضا میں جو ٹکڑا

مستقبل ملت کے حق میں اقبال کا پرچم ہوتا ہے

منصور جو ہوتا اہل نظر تو دعوئ باطل کیوں کرتا

اس کی تو زباں کھلتی ہی نہیں جو راز کا محرم ہوتا ہے

تا چند سہیلؔ افسردۂ غم کیا یاد نہیں تاریخ حرم

ایماں کے جہاں پڑتے ہیں قدم پیدا وہیں زمزم ہوتا ہے

اقبال سہیل

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Wo Samne Jab Aa Jate Hain Sakte Ka Sa Aalam Hota Hai

Iqbal Sohail

wo samne jab aa jate hain sakte ka sa aalam hota hai
us dil ki tabahi kya kahiye amrit bhi jise sam hota hai

dete hain usi ko jam-e-tarab jo jura-kash-e-gham hota hai
kab bagh-e-jahan hain KHanda-e-gul be-girya-e-shabnam hota hai

jab walwala sadiq hota hai jab azm musammam hota hai
takmil ka saman ghaib se KHud us waqt faraham hota hai

anjam-e-wafa bhi dekh liya ab kis liye sar KHam hota hai
nazuk hai mizaj-e-husn bahut sajde se bhi barham hota hai

ye aag dahakti hai jitni utna hi dhuan kam deti hai
ehsas-e-sitam baDh jata hai to shor-e-fughan kam hota hai

rag rag mein nizam-e-fitrat ki raqsan hai mohabbat ki bijli
ho lakh tazad azdad mein bhi ek rabta baham hota hai

mil-jul ke ba-rang-e-rang-e-shir-o-shakar donon ke nikharte hain jauhar
dariyaon ke sangam se baDh kar tahzibon ka sangam hota hai

taraj nasheman khel sahi sayyaad magar itna sun le
jab ishq ki duniya luTti hai KHud husn ka matam hota hai

diwanon ke jeb-o-daman ka uDta hai faza mein jo TukDa
mustaqbil-e-millat ke haq mein iqbaal ka parcham hota hai

mansur jo hota ahl-e-nazar to dawa-e-baatil kyun karta
us ki to zaban khulti hi nahin jo raaz ka mahram hota hai

ta-chand 'suhail' afsurda-e-gham kya yaad nahin tariKH-e-haram
iman ke jahan paDte hain qadam paida wahin zamzam hota hai

(988) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Wo Samne Jab Aa Jate Hain Sakte Ka Sa Aalam Hota Hai written by Iqbal Sohail at UrduPoint. Wo Samne Jab Aa Jate Hain Sakte Ka Sa Aalam Hota Hai is one of the masterpieces written by Iqbal Sohail. You can also find the complete poetry collection of Iqbal Sohail by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Iqbal Sohail' above.

Wo Samne Jab Aa Jate Hain Sakte Ka Sa Aalam Hota Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Wo Samne Jab Aa Jate Hain Sakte Ka Sa Aalam Hota Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.