Chhaton Pe Aag Rahi Baam-o-dar Pe Dhup Rahi, Urdu Ghazal By Iqbal Umar

Chhaton Pe Aag Rahi Baam-o-dar Pe Dhup Rahi is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Iqbal Umar. Chhaton Pe Aag Rahi Baam-o-dar Pe Dhup Rahi comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Chhaton Pe Aag Rahi Baam-o-dar Pe Dhup Rahi on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

چھتوں پہ آگ رہی بام و در پہ دھوپ رہی

اقبال عمر

چھتوں پہ آگ رہی بام و در پہ دھوپ رہی

سحر سے شام تلک بحر و بر پہ دھوپ رہی

بہت دنوں سے جو بادل ادھر نہیں آئے

درخت سوکھے رہے رہ گزر پہ دھوپ رہی

کچھ ایسے وقت پہ نکلے تھے اپنے گھر سے ہم

جہاں جہاں بھی گئے اپنے سر پہ دھوپ رہی

غروب ہو گیا سورج مگر فضاؤں میں

وہی تپش ہے کہ جیسے نگر پہ دھوپ رہی

روش روش پہ رہا آفتاب کا سایہ

جہان غنچہ و برگ و ثمر پہ دھوپ رہی

عرق عرق ہے جبیں پیرہن پسینہ ہے

بشر ہی جانے کہ کیسی بشر پہ دھوپ رہی

جہان کرب و بلا ہم کو یاد آیا ہے

کچھ ایسی اب کے ہمارے نگر پہ دھوپ رہی

رواں دواں ہمیں پھرنا تھا دشت غربت میں

کبھی جو گھر میں رہے ہیں تو گھر پہ دھوپ رہی

اسی پرندے کی صورت ہمیں بھی جینا تھا

جو دن کو اڑتا رہا بال و پر پہ دھوپ رہی

تمام دن مجھے سورج کے ساتھ چلنا تھا

مرے سبب سے مرے ہم سفر پہ دھوپ رہی

یہی تو سوچ کے اقبالؔ کو ندامت ہے

شجر کے سائے میں ہم اور شجر پہ دھوپ رہی

اقبال عمر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Chhaton Pe Aag Rahi Baam-o-dar Pe Dhup Rahi

Iqbal Umar

chhaton pe aag rahi baam-o-dar pe dhup rahi
sahar se sham talak bahr-o-bar pe dhup rahi

bahut dinon se jo baadal idhar nahin aae
daraKHt sukhe rahe rahguzar pe dhup rahi

kuchh aise waqt pe nikle the apne ghar se hum
jahan jahan bhi gae apne sar pe dhup rahi

ghurub ho gaya suraj magar fazaon mein
wahi tapish hai ki jaise nagar pe dhup rahi

rawish rawish pe raha aaftab ka saya
jahan-e-ghuncha-o-barg-o-samar pe dhup rahi

araq araq hai jabin pairahan pasina hai
bashar hi jaane ki kaisi bashar pe dhup rahi

jahan-e-karb-o-bala hum ko yaad aaya hai
kuchh aisi ab ke hamare nagar pe dhup rahi

rawan-dawan hamein phirna tha dasht-e-ghurbat mein
kabhi jo ghar mein rahe hain to ghar pe dhup rahi

usi parinde ki surat hamein bhi jina tha
jo din ko uDta raha baal-o-par pe dhup rahi

tamam din mujhe suraj ke sath chalna tha
mere sabab se mere ham-safar pe dhup rahi

yahi to soch ke 'iqbaal' ko nadamat hai
shajar ke sae mein hum aur shajar pe dhup rahi

(518) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Chhaton Pe Aag Rahi Baam-o-dar Pe Dhup Rahi written by Iqbal Umar at UrduPoint. Chhaton Pe Aag Rahi Baam-o-dar Pe Dhup Rahi is one of the masterpieces written by Iqbal Umar. You can also find the complete poetry collection of Iqbal Umar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Iqbal Umar' above.

Chhaton Pe Aag Rahi Baam-o-dar Pe Dhup Rahi is a widely read Urdu Ghazal. If you like Chhaton Pe Aag Rahi Baam-o-dar Pe Dhup Rahi, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.