Shor Hai ChiKH Hai Sada Hai Ghazal, Urdu Ghazal By Irfan Abidi Mantvi

Shor Hai ChiKH Hai Sada Hai Ghazal is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Irfan Abidi Mantvi. Shor Hai ChiKH Hai Sada Hai Ghazal comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Shor Hai ChiKH Hai Sada Hai Ghazal on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

شور ہے چیخ ہے صدا ہے غزل

عرفان عابدی مانٹوی

شور ہے چیخ ہے صدا ہے غزل

زخم ہے درد ہے دوا ہے غزل

آرزو شوق چاہ چین سکوں

کرب ہے ضبط ہے بکا ہے غزل

ہجر میں بھی شب فراق میں بھی

ہم سفر بھی ہے ہم نوا ہے غزل

ماہ و انجم بھی چاند سورج بھی

جس میں رہتے ہیں وہ سما ہے غزل

میں تھا مدہوش دید چشم غزال

ہوش میں لانے کی ہوا ہے غزل

اشک آنکھوں کے پوچھنے کے لئے

میری چادر مری ردا ہے غزل

درد جتنے چھپے ہیں پہلو میں

راز سارے تمہیں پتہ ہے غزل

خوب صورت کوئی نہیں دکھتا

میری خاطر جو مہ لقا ہے غزل

میرے حالات نے وفا نہ کیا

غم نہیں کیونکہ با وفا ہے غزل

میری تنہائی کی یہ ساتھی ہے

لوگ کہتے ہیں کہ بلا ہے غزل

اشک پلکوں تلک نہ آنے دیا

کتنی معصوم و با حیا ہے غزل

رعب ہو خوف یا پشیمانی

کوئی تجھ میں نہیں دکھا ہے غزل

میری خاموشیوں کو توڑنے کا

وہ قریں میرے اسلحہ ہے غزل

میرے دل کا اشارہ جانتی ہے

اس قدر مجھ سے آشنا ہے غزل

نثر میں خوب آتی رہتی ہے

شعر میں جانے کیوں خفا ہے غزل

مجھ سے پوچھا گیا ملو گے کہاں

میں نے کاغذ پہ لکھ دیا ہے غزل

عرفان عابدی مانٹوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Shor Hai ChiKH Hai Sada Hai Ghazal

Irfan Abidi Mantvi

shor hai chiKH hai sada hai ghazal
zaKHm hai dard hai dawa hai ghazal

aarzu shauq chah chain sukun
karb hai zabt hai buka hai ghazal

hijr mein bhi shab-e-firaq mein bhi
ham-safar bhi hai ham-nawa hai ghazal

mah-o-anjum bhi chand suraj bhi
jis mein rahte hain wo sama hai ghazal

main tha madhosh-e-did-e-chashm-e-ghazal
hosh mein lane ki hawa hai ghazal

ashk aankhon ke puchhne ke liye
meri chadar meri rida hai ghazal

dard jitne chhupe hain pahlu mein
raaz sare tumhein pata hai ghazal

KHubsurat koi nahin dikhta
meri KHatir jo mah-laqa hai ghazal

mere haalat ne wafa na kiya
gham nahin kyunki ba-wafa hai ghazal

meri tanhai ki ye sathi hai
log kahte hain ki bala hai ghazal

ashk palkon talak na aane diya
kitni masum-o-ba-haya hai ghazal

roab ho KHauf ya pashemani
koi tujh mein nahin dikha hai ghazal

meri KHamoshiyon ko toDne ka
wo qarin mere aslaha hai ghazal

mere dil ka ishaara jaanti hai
is qadar mujh se aashna hai ghazal

nasr mein KHub aati rahti hai
sher mein jaane kyon KHafa hai ghazal

mujh se puchha gaya miloge kahan
main ne kaghaz pe likh diya hai ghazal

(530) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Shor Hai ChiKH Hai Sada Hai Ghazal written by Irfan Abidi Mantvi at UrduPoint. Shor Hai ChiKH Hai Sada Hai Ghazal is one of the masterpieces written by Irfan Abidi Mantvi. You can also find the complete poetry collection of Irfan Abidi Mantvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Irfan Abidi Mantvi' above.

Shor Hai ChiKH Hai Sada Hai Ghazal is a widely read Urdu Ghazal. If you like Shor Hai ChiKH Hai Sada Hai Ghazal, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.