Ajib Shor Hai Sara Jahan Bolta Hai, Urdu Ghazal By Irfan Ullah Irfan

Ajib Shor Hai Sara Jahan Bolta Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Irfan Ullah Irfan. Ajib Shor Hai Sara Jahan Bolta Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ajib Shor Hai Sara Jahan Bolta Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

عجیب شور ہے سارا جہان بولتا ہے

عرفان اللہ عرفان

عجیب شور ہے سارا جہان بولتا ہے

مرے یقین کے آگے گمان بولتا ہے

اسے کہو کہ وہ حصہ بنے کہانی کا

یہ جو کوئی بھی پس داستان بولتا ہے

سماعتوں پہ فسوں طاری ہونے لگتا ہے

وہ ایسی شان سے اردو زبان بولتا ہے

اسی کو حق ہے تری انجمن میں بولنے کا

ترے حضور جو شایان شان بولتا ہے

اسے سلیقہ نہیں ہے بڑوں میں بیٹھنے کا

جو میری گفتگو کے درمیان بولتا ہے

نہ جانوں میں یہ تماشا ہے کتنی دیر ابھی

بھنور کے آگے مرا بادبان بولتا ہے

میں بے طرح کے کئی گیت گنگناتا ہوں

سفر میں جیسے کوئی ساربان بولتا ہے

عرفان اللہ عرفان

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ajib Shor Hai Sara Jahan Bolta Hai

Irfan Ullah Irfan

ajib shor hai sara jahan bolta hai
mere yaqin ke aage guman bolta hai

use kaho ki wo hissa bane kahani ka
ye jo koi bhi pas-e-dastan bolta hai

samaaton pe fusun tari hone lagta hai
wo aisi shan se urdu zaban bolta hai

usi ko haq hai teri anjuman mein bolne ka
tere huzur jo shayan-e-shan bolta hai

use saliqa nahin hai baDon mein baiThne ka
jo meri guftugu ke darmiyan bolta hai

na jaanun main ye tamasha hai kitni der abhi
bhanwar ke aage mera baadban bolta hai

main be-tarah ke kai git gungunata hun
safar mein jaise koi sarban bolta hai

(863) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ajib Shor Hai Sara Jahan Bolta Hai written by Irfan Ullah Irfan at UrduPoint. Ajib Shor Hai Sara Jahan Bolta Hai is one of the masterpieces written by Irfan Ullah Irfan. You can also find the complete poetry collection of Irfan Ullah Irfan by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Irfan Ullah Irfan' above.

Ajib Shor Hai Sara Jahan Bolta Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ajib Shor Hai Sara Jahan Bolta Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.