Aane Lagi Hai Zahr Ki KHushbu Shumal Se, Urdu Ghazal By Irshad Hussain Kazmi

Aane Lagi Hai Zahr Ki KHushbu Shumal Se is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Irshad Hussain Kazmi. Aane Lagi Hai Zahr Ki KHushbu Shumal Se comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Aane Lagi Hai Zahr Ki KHushbu Shumal Se on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

آنے لگی ہے زہر کی خوشبو شمال سے

ارشاد حسین کاظمی

آنے لگی ہے زہر کی خوشبو شمال سے

جھلکے گا رنگ خون کا عصر زوال سے

ہیں درج آنے والی رتوں کے حساب میں

پتے جھڑے ہوئے شجر ماہ و سال سے

خواہش کے کاروبار کی رسمیں بدل گئیں

ملتے ہیں پھول بڑھ کے خود اپنے مآل سے

گلدان میں سجی ہوئی کلیوں کو کیا خبر

کیا پوچھتی ہے باد صبا ڈال ڈال سے

ظاہر ہیں پیرہن کی سپیدی سے تین رنگ

خوشبو کی آبشار رواں سبز شال سے

پردوں کی سرسراہٹیں بوندوں کے رل‌ ترل

کھلتا ہے در ہوائے شب برشگال سے

تو ہی ہجوم شہر میں پہچان لے مجھے

میں آشنا نہیں ہوں ترے خد و خال سے

اب تک حریف سنگ سمجھتا تھا میں اسے

یہ آئنہ تو ٹوٹ گیا دیکھ بھال سے

اندھوں کی انجمن میں جلاتے ہو مشعلیں

ارشاد کچھ نہ پاؤ گے کسب کمال سے

ارشاد حسین کاظمی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Aane Lagi Hai Zahr Ki KHushbu Shumal Se

Irshad Hussain Kazmi

aane lagi hai zahr ki KHushbu shumal se
jhalkega rang KHun ka asr-e-zawal se

hain darj aane wali ruton ke hisab mein
patte jhaDe hue shajar-e-mah-o-mal se

KHwahish ke karobar ki rasmen badal gain
milte hain phul baDh ke KHud apne maal se

gul-dan mein saji hui kaliyon ko kya KHabar
kya puchhti hai baad-e-saba Dal Dal se

zahir hain pairahan ki sapedi se tin rang
KHushbu ki aabshaar-e-rawan sabz shaal se

pardon ki sarsarahaTen bundon ke ral-taral
khulta hai dar hawa-e-shab-e-barshgal se

tu hi hujum-e-shahr mein pahchan le mujhe
main aashna nahin hun tere KHadd-o-KHal se

ab tak harif-e-sang samajhta tha main use
ye aaina to TuT gaya dekh bhaal se

andhon ki anjuman mein jalate ho mishalen
irshad kuchh na paoge kasb-e-kamal se

(558) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Aane Lagi Hai Zahr Ki KHushbu Shumal Se written by Irshad Hussain Kazmi at UrduPoint. Aane Lagi Hai Zahr Ki KHushbu Shumal Se is one of the masterpieces written by Irshad Hussain Kazmi. You can also find the complete poetry collection of Irshad Hussain Kazmi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Irshad Hussain Kazmi' above.

Aane Lagi Hai Zahr Ki KHushbu Shumal Se is a widely read Urdu Ghazal. If you like Aane Lagi Hai Zahr Ki KHushbu Shumal Se, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.