Hai Be-lab-o-zaban Bhi Ghul Tere Nam Ka, Urdu Ghazal By Ismail Merathi

Hai Be-lab-o-zaban Bhi Ghul Tere Nam Ka is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ismail Merathi. Hai Be-lab-o-zaban Bhi Ghul Tere Nam Ka comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Hai Be-lab-o-zaban Bhi Ghul Tere Nam Ka on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہے بے لب و زباں بھی غل تیرے نام کا

اسماعیل میرٹھی

ہے بے لب و زباں بھی غل تیرے نام کا

محرم نہیں ہے گوش مگر اس پیام کا

خوش ہے ملامت اہل خرابات کے لئے

اس سلسلے میں نام نہیں ننگ و نام کا

نخوت ہے جس کے کاسۂ سر میں بھری ہوئی

کب مستحق ہے محفل رنداں میں جام کا

جاگیر درد پر ہمیں سرکار عشق نے

تحریر کر دیا ہے وثیقہ دوام کا

وادیٔ عشق میں نہ ملا کوئی ہم سفر

سنتے تھے نام خضر علیہ السلام کا

آسودگی نہ ڈھونڈ کہ جاتا ہے کارواں

لے مستعار برق سے وقفہ قیام کا

کھولا ہے مجھ پہ سر حقیقت مجاز نے

یہ پختگی صلہ ہے خیالات خام کا

کھاتا نہیں فریب تمنائے دو جہاں

خوگر نہیں ہے توسن ہمت لگام کا

مت رکھ طمع سے چشم تمتع کہ ہے یہاں

دانہ ہر ایک مردمک دیدہ دام کا

پہونچا دیا حدود دو عالم سے بھی پرے

مطرب نے راگ چھیڑ دیا کس مقام کا

ظلمت میں کیا تمیز سفید و سیاہ کی

فرقت میں کچھ حساب نہیں صبح و شام کا

جس کی نظر ہے صنعت ابرونگار پر

ہے وہ قتیل تیغ نہ کشتہ نیام کا

کھانے کو اے حریص غم عشق کم نہیں

یہ ہو تو کچھ بھی فکر نہ کر قرض و وام کا

میں بے قرار منزل مقصود بے نشاں

رستہ کی انتہا نہ ٹھکانا مقام کا

گر دیکھیے تو خاطر ناشاد شاد ہے

سچ پوچھئے تو ہے دل ناکام کام کا

اٹھے تری نقاب تو اٹھ جائے ایک بار

سب تفرقہ یہ روز و شب و صبح و شام کا

اسماعیل میرٹھی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hai Be-lab-o-zaban Bhi Ghul Tere Nam Ka

Ismail Merathi

hai be-lab-o-zaban bhi ghul tere nam ka
mahram nahin hai gosh magar is payam ka

KHush hai malamat ahl-e-KHarabaat kai liye
is silsile mein nam nahin nang-o-nam ka

naKHwat hai jis ke kasa-e-sar mein bhari hui
kab mustahiq hai mahfil rindan mein jam ka

jagir-e-dard par hamein sarkar-e-ishq ne
tahrir kar diya hai wasiqa dawam ka

wadi-e-ishq mein na mila koi ham-safar
sunte the nam KHizr alaihis-salam ka

aasudgi na DhunD ki jata hai karwan
le mustaar barq se waqfa qayam ka

khola hai mujh pe sirr-e-haqiqat majaz ne
ye puKHtagi sila hai KHayalat-e-KHam ka

khata nahin fareb-e-tamanna-e-do-jahan
KHugar nahin hai tausan-e-himmat lagam ka

mat rakh tama se chashm-e-tamatto ki hai yahan
dana har ek mardumak-e-dida-dam ka

pahuncha diya hudud-e-do-alam se bhi pare
mutrib ne rag chheD diya kis maqam ka

zulmat mein kya tamiz safed-o-siyah ki
furqat mein kuchh hisab nahin subh-o-sham ka

jis ki nazar hai sanat-e-abru-nigar par
hai wo qatil-e-tegh na kushta niyam ka

khane ko ai haris gham-e-ishq kam nahin
ye ho to kuchh bhi fikr na kar qarz-o-wam ka

main be-qarar-e-manzil-e-maqsud be-nishan
raste ki intiha na Thikana maqam ka

gar dekhiye to KHatir-e-nashad shad hai
sach puchhiye to hai dil-e-nakaam kaam ka

uTThe teri naqab to uTh jae ek bar
sab tafraqa ye roz-o-shab-o-subh-o-sham ka

(400) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Hai Be-lab-o-zaban Bhi Ghul Tere Nam Ka written by Ismail Merathi at UrduPoint. Hai Be-lab-o-zaban Bhi Ghul Tere Nam Ka is one of the masterpieces written by Ismail Merathi. You can also find the complete poetry collection of Ismail Merathi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ismail Merathi' above.

Hai Be-lab-o-zaban Bhi Ghul Tere Nam Ka is a widely read Urdu Ghazal. If you like Hai Be-lab-o-zaban Bhi Ghul Tere Nam Ka, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.