UlTi Har Ek Rasm-e-jahan-e-shuur Hai, Urdu Ghazal By Ismail Merathi

UlTi Har Ek Rasm-e-jahan-e-shuur Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ismail Merathi. UlTi Har Ek Rasm-e-jahan-e-shuur Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read UlTi Har Ek Rasm-e-jahan-e-shuur Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

الٹی ہر ایک رسم جہان شعور ہے

اسماعیل میرٹھی

الٹی ہر ایک رسم جہان شعور ہے

سیدھی سی اک غزل مجھے لکھنی ضرور ہے

وحدت میں اعتبار حدوث و قدم نہیں

تھا جو بطون میں یہ وہی تو ظہور ہے

تارک وہی ہے جس نے کیا کل کو اختیار

یعنی حریص تر ہے وہی جو صبور ہے

مطلق یگانگی ہے تو نزدیک و دور کیا

پہنچا ہے جو قریب وہی دور دور ہے

اصل حیات ہے یہی کہتے ہیں جس کو موت

جینے کی آرزو ہے تو مرنا ضرور ہے

اقرار بندگی ہے خدائی کا ادعا

عجز و نیاز کیا ہے کمال غرور ہے

امید کیجئے اگر امید کچھ نہیں

غم کھائیے بہت جو خیال سرور ہے

زلف سیاہ سے رخ تاباں کا حسن ہے

کہتے ہو جس کو دیو حقیقت میں حور ہے

بے معصیت خزانۂ رحمت ہے رائیگاں

سچ پوچھئے تو جرم نہ کرنا قصور ہے

اظہار جان پاک ہے جسم کثیف سے

بے پردگی حجاب ہے ظلمت ہی نور ہے

بالاتفاق ہستیٔ وہمی ہے نیتی

ہشیار ہے جو نشۂ غفلت میں چور ہے

اعلیٰ تھا جس کا رتبہ وہ اسفل میں ہے اسیر

صف نعال موقف صدر الصدور ہے

ہے راہ کی تلاش تو کر گمرہی طلب

عاقل وہی ہے عقل میں جس کی فتور ہے

بیداریٔ وجود ہے خواب عدم میں غرق

لب بند ہو گئے یہی شور نشور ہے

ہر چند شغل شعر نہیں آج کل ضرور

نذرانہ پیر جی کے لئے کچھ ضرور ہے

اسماعیل میرٹھی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

UlTi Har Ek Rasm-e-jahan-e-shuur Hai

Ismail Merathi

ulTi har ek rasm-e-jahan-e-shuur hai
sidhi si ek ghazal mujhe likhni zarur hai

wahdat mein e'tibar-e-hudus-o-qidam nahin
tha jo butun mein ye wahi to zuhur hai

tarik wahi hai jis ne kiya kal ko iKHtiyar
yani haris-tar hai wahi jo subur hai

mutlaq yagangi hai to nazdik-o-dur kya
pahuncha hai jo qarib wahi dur dur hai

asl-e-hayat hai yahi kahte hain jis ko maut
jine ki aarzu hai to marna zarur hai

iqrar-e-bandagi hai KHudai ka iddaa
ijz-o-niyaz kya hai kamal-e-ghurur hai

ummid kijiye agar ummid kuchh nahin
gham khaiye bahut jo KHayal-e-surur hai

zulf-e-siyah se ruKH-e-taban ka husn hai
kahte ho jis ko dew haqiqat mein hur hai

be-masiyat KHazana-e-rahmat hai raegan
sach puchhiye to jurm na karna qusur hai

izhaar-e-jaan-e-pak hai jism-e-kasif se
be-pardagi hijab hai zulmat hi nur hai

bilittifaq hasti-e-wahmi hai niyyati
hushiyar hai jo nashsha-e-ghaflat mein chur hai

aala tha jis ka rutba wo asfal mein hai asir
saff-e-naal moqif-e-sadrussudur hai

hai rah ki talash to kar gumrahi talab
aaqil wahi hai aql mein jis ki futur hai

bedari-e-wajud hai KHwab-e-adam mein gharq
lab band ho gae yahi shor-e-nushur hai

har chand shaghl-e-sher nahin aaj-kal zarur
nazrana pir ji ke liye kuchh zarur hai

(502) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read UlTi Har Ek Rasm-e-jahan-e-shuur Hai written by Ismail Merathi at UrduPoint. UlTi Har Ek Rasm-e-jahan-e-shuur Hai is one of the masterpieces written by Ismail Merathi. You can also find the complete poetry collection of Ismail Merathi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ismail Merathi' above.

UlTi Har Ek Rasm-e-jahan-e-shuur Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like UlTi Har Ek Rasm-e-jahan-e-shuur Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.