Aaj Kisi Ki Yaad Mein Hum Ji Bhar Kar Roe Dhoya Ghar, Urdu Ghazal By Jafar Baluch

Aaj Kisi Ki Yaad Mein Hum Ji Bhar Kar Roe Dhoya Ghar is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Jafar Baluch. Aaj Kisi Ki Yaad Mein Hum Ji Bhar Kar Roe Dhoya Ghar comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Aaj Kisi Ki Yaad Mein Hum Ji Bhar Kar Roe Dhoya Ghar on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

آج کسی کی یاد میں ہم جی بھر کر روئے دھویا گھر

جعفر بلوچ

آج کسی کی یاد میں ہم جی بھر کر روئے دھویا گھر

آج ہمارا گھر لگتا ہے کیسا اجلا اجلا گھر

اپنے آئیں سر آنکھوں پر غیر کی یہ بیٹھک نہ بنے

گھر آسیب کا بن جائے گا ورنہ ہنستا بستا گھر

گھر کو جب ہم جھاڑیں پوچھیں رہتے ہیں محتاط بہت

گرد آلود نہیں ہونے دیتے ہم ہم سایے کا گھر

تم نے کڑیاں جھیلیں اور غیروں کے گھر آباد کیے

راہ تمہاری تکتا ہے آبائی سونا سونا گھر

جو آرام ہے اپنے گھر میں اور کہاں مل سکتا ہے

ٹوٹا پھوٹا بھی ہو تو بھی اپنا گھر ہے اپنا گھر

اک انجانے ڈر نے نیند اچک لی سب کی آنکھوں سے

کتنی ہی راتوں سے مسلسل بے آرام ہے گھر کا گھر

میری روح بروگن رہ رہ کر چلاتی رہتی ہے

میرا گھر میرا پیارا گھر میرا پیارا پیارا گھر

آوارہ گردی کے سبب وہ دن بھر تو مطعون رہا

جب سورج مغرب میں ڈوبا جعفرؔ بھی جا پہنچا گھر

جعفر بلوچ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Aaj Kisi Ki Yaad Mein Hum Ji Bhar Kar Roe Dhoya Ghar

Jafar Baluch

aaj kisi ki yaad mein hum ji bhar kar roe dhoya ghar
aaj hamara ghar lagta hai kaisa ujla ujla ghar

apne aaen sar aankhon par ghair ki ye baiThak na bane
ghar aaseb ka ban jaega warna hansta-basta ghar

ghar ko jab hum jhaDen-pochhen rahte hain mohtat bahut
gard-alud nahin hone dete hum ham-sae ka ghar

tum ne kaDiyan jhelin aur ghairon ke ghar aabaad kiye
rah tumhaari takta hai aabai suna suna ghar

jo aaram hai apne ghar mein aur kahan mil sakta hai
TuTa-phuTa bhi ho to bhi apna ghar hai apna ghar

ek anjaane Dar ne nind uchak li sab ki aankhon se
kitni hi raaton se musalsal be-aram hai ghar ka ghar

meri ruh birogan rah rah kar chillati rahti hai
mera ghar mera pyara ghar mera pyara pyara ghar

aawaragardi ke sabab wo din-bhar to matun raha
jab suraj maghrib mein Duba 'jafar' bhi ja pahuncha ghar

(715) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Aaj Kisi Ki Yaad Mein Hum Ji Bhar Kar Roe Dhoya Ghar written by Jafar Baluch at UrduPoint. Aaj Kisi Ki Yaad Mein Hum Ji Bhar Kar Roe Dhoya Ghar is one of the masterpieces written by Jafar Baluch. You can also find the complete poetry collection of Jafar Baluch by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Jafar Baluch' above.

Aaj Kisi Ki Yaad Mein Hum Ji Bhar Kar Roe Dhoya Ghar is a widely read Urdu Ghazal. If you like Aaj Kisi Ki Yaad Mein Hum Ji Bhar Kar Roe Dhoya Ghar, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.