KHizan Ke Dosh Pe Hai Fasl-e-gul Ka RaKHt Abhi, Urdu Ghazal By Jafar Baluch

KHizan Ke Dosh Pe Hai Fasl-e-gul Ka RaKHt Abhi is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Jafar Baluch. KHizan Ke Dosh Pe Hai Fasl-e-gul Ka RaKHt Abhi comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read KHizan Ke Dosh Pe Hai Fasl-e-gul Ka RaKHt Abhi on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

خزاں کے دوش پہ ہے فصل گل کا رخت ابھی

جعفر بلوچ

خزاں کے دوش پہ ہے فصل گل کا رخت ابھی

کہ برگ و بار سے خالی ہے ہر درخت ابھی

ابھی غموں سے عبارت ہے سر نوشت بشر

کہ آسمان پرے ہے زمین سخت ابھی

سمجھ شعاع بریدہ نہ صرف جگنو کو

کرن کرن کا جگر ہوگا لخت لخت ابھی

متاع جاں بھی اسے پیش کر چکا ہوں میں

مرے رقیب کا لہجہ ہے کیوں کرخت ابھی

تمام رات رہا مے کدہ نشیں جعفرؔ

گیا ہے اٹھ کے یہاں سے وہ نیک بخت ابھی

جعفر بلوچ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

KHizan Ke Dosh Pe Hai Fasl-e-gul Ka RaKHt Abhi

Jafar Baluch

KHizan ke dosh pe hai fasl-e-gul ka raKHt abhi
ki barg-o-bar se KHali hai har daraKHt abhi

abhi ghamon se ibarat hai sar-nawisht-e-bashar
ki aasman pare hai zamin saKHt abhi

samajh shua-e-burida na sirf jugnu ko
kiran kiran ka jigar hoga laKHt laKHt abhi

mata-e-jaan bhi use pesh kar chuka hun main
mere raqib ka lahja hai kyun karaKHt abhi

tamam raat raha mai-kada-nashin 'jafar'
gaya hai uTh ke yahan se wo nek-baKHt abhi

(378) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read KHizan Ke Dosh Pe Hai Fasl-e-gul Ka RaKHt Abhi written by Jafar Baluch at UrduPoint. KHizan Ke Dosh Pe Hai Fasl-e-gul Ka RaKHt Abhi is one of the masterpieces written by Jafar Baluch. You can also find the complete poetry collection of Jafar Baluch by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Jafar Baluch' above.

KHizan Ke Dosh Pe Hai Fasl-e-gul Ka RaKHt Abhi is a widely read Urdu Ghazal. If you like KHizan Ke Dosh Pe Hai Fasl-e-gul Ka RaKHt Abhi, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.