Sachche Dil Se Wada Kiya Ho Aisa Bhi To Ho Sakta Hai, Urdu Ghazal By Jafar Raza

Sachche Dil Se Wada Kiya Ho Aisa Bhi To Ho Sakta Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Jafar Raza. Sachche Dil Se Wada Kiya Ho Aisa Bhi To Ho Sakta Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Sachche Dil Se Wada Kiya Ho Aisa Bhi To Ho Sakta Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

سچے دل سے وعدہ کیا ہو ایسا بھی تو ہو سکتا ہے

جعفر رضا

سچے دل سے وعدہ کیا ہو ایسا بھی تو ہو سکتا ہے

اس کا کیا ہے بھول گیا ہو ایسا بھی تو ہو سکتا ہے

فتنہ گر کا روپ نیا ہو ایسا بھی تو ہو سکتا ہے

مجھ سے مل کر اس سے ملا ہو ایسا بھی تو ہو سکتا ہے

عشق محبت لاگ لگاوٹ شاید اس میں کچھ بھی نہ ہو

صرف تمہیں محسوس ہوا ہو ایسا بھی تو ہو سکتا ہے

آپ مرے قاتل کیوں کر ہوں جھوٹ کسی نے اڑایا ہوگا

آپ کا چہرہ اس جیسا ہو ایسا بھی تو ہو سکتا ہے

اہل بصیرت دھوکا کھا کر غیر کی باتوں میں آئے ہوں

گھر کا بھیدی کوئی رہا ہو ایسا بھی تو ہو سکتا ہے

پہلے بھی ابنائے وطن نے بیچا ہے ناموس وطن کو

وقت نے خود کو دہرایا ہو ایسا بھی تو ہو سکتا ہے

زعم حکومت نے ٹھکرایا رہبر دیں کی دعوت حق کو

اس کا یہ انجام ہوا ہو ایسا بھی تو ہو سکتا ہے

دل تو آخر دل ہے یاراں کب تک ان کے روکے رکتا

پکا پھوڑا پھوٹ بہا ہو ایسا بھی تو ہو سکتا ہے

ختم سفر پر اہل مسافت اتنے کیوں مایوس ہوئے ہو

اس منزل سے سفر نیا ہو ایسا بھی تو ہو سکتا ہے

جعفر رضا

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Sachche Dil Se Wada Kiya Ho Aisa Bhi To Ho Sakta Hai

Jafar Raza

sachche dil se wada kiya ho aisa bhi to ho sakta hai
us ka kya hai bhul gaya ho aisa bhi to ho sakta hai

fitna-gar ka rup naya ho aisa bhi to ho sakta hai
mujh se mil kar us se mila ho aisa bhi to ho sakta hai

ishq mohabbat lag lagawaT shayad is mein kuchh bhi na ho
sirf tumhein mahsus hua ho aisa bhi to ho sakta hai

aap mere qatil kyun-kar hon jhuT kisi ne uDaya hoga
aap ka chehra us jaisa ho aisa bhi to ho sakta hai

ahl-e-basirat dhoka kha kar ghair ki baaton mein aae hon
ghar ka bhedi koi raha ho aisa bhi to ho sakta hai

pahle bhi abna-e-watan ne becha hai namus-e-watan ko
waqt ne KHud ko dohraya ho aisa bhi to ho sakta hai

zoam-e-hukumat ne Thukraya rahbar-e-din ki dawat-e-haq ko
us ka ye anjam hua ho aisa bhi to ho sakta hai

dil to aaKHir dil hai yaran kab tak un ke roke rukta
pakka phoDa phuT baha ho aisa bhi to ho sakta hai

KHatm-e-safar par ahl-e-masafat itne kyun mayus hue ho
is manzil se safar naya ho aisa bhi to ho sakta hai

(579) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Sachche Dil Se Wada Kiya Ho Aisa Bhi To Ho Sakta Hai written by Jafar Raza at UrduPoint. Sachche Dil Se Wada Kiya Ho Aisa Bhi To Ho Sakta Hai is one of the masterpieces written by Jafar Raza. You can also find the complete poetry collection of Jafar Raza by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Jafar Raza' above.

Sachche Dil Se Wada Kiya Ho Aisa Bhi To Ho Sakta Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Sachche Dil Se Wada Kiya Ho Aisa Bhi To Ho Sakta Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.