Dayar-e-shauq Mein Mujhko Gham-e-sud-o-ziyan Kyon Ho, Urdu Ghazal By JaiKrishn Chaudhry Habeeb

Dayar-e-shauq Mein Mujhko Gham-e-sud-o-ziyan Kyon Ho is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, JaiKrishn Chaudhry Habeeb. Dayar-e-shauq Mein Mujhko Gham-e-sud-o-ziyan Kyon Ho comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Dayar-e-shauq Mein Mujhko Gham-e-sud-o-ziyan Kyon Ho on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دیار شوق میں مجھ کو غم سود و زیاں کیوں ہو

جے کرشن چودھری حبیب

دیار شوق میں مجھ کو غم سود و زیاں کیوں ہو

جو لٹ جائے نہ راہوں میں وہ میرا کارواں کیوں ہو

تعلق ترک کر کے بھی میرے دل میں نہاں کیوں ہو

مجھے آزار جاں دے کر میرا روح رواں کیوں ہو

اسے چاہوں اسے چاہوں جسے چاہوں کسی کو کیا

زمانہ مجھ سے کیوں الجھے زمانہ بد نما کیوں ہو

نظر چہرے پہ ڈالی ہے مگر کچھ سہمی سہمی سی

حسینوں کا یہ رعب حسن ان کا پاسباں کیوں ہو

وہی ہے کیف و سرمستی وہی لطف اور لذت ہے

جہاں تیرا تصور ہے مئے رنگیں وہاں کیوں ہو

جہاں شعلوں سے پھولوں کے حسیں چہرے جھلستے ہیں

جہاں کانٹے پنپتے ہیں وہ میرا گلستاں کیوں ہو

لب گل پر تمہیں خنداں میرے دل میں تمہیں رقصاں

عیاں ہو اس قدر جب تم تو آنکھوں سے نہاں کیوں ہو

حبیبؔ اب پیار کی وہ چاندنی راتیں نہیں باقی

تو اس پہلی نظر کی یاد بھی دل میں نہاں کیوں ہو

جے کرشن چودھری حبیب

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dayar-e-shauq Mein Mujhko Gham-e-sud-o-ziyan Kyon Ho

JaiKrishn Chaudhry Habeeb

dayar-e-shauq mein mujh ko gham-e-sud-o-ziyan kyon ho
jo luT jae na rahon mein wo mera karwan kyon ho

talluq tark kar ke bhi mere dil mein nihan kyon ho
mujhe aazar-e-jaan de kar mera ruh-e-rawan kyon ho

ise chahun use chahun jise chahun kisi ko kya
zamana mujh se kyon uljhe zamana bad-numa kyon ho

nazar chehre pe Dali hai magar kuchh sahmi sahmi si
hasinon ka ye roab-e-husn un ka pasban kyon ho

wahi hai kaif-o-sarmasti wahi lutf aur lazzat hai
jahan tera tasawwur hai mai-e-rangin wahan kyon ho

jahan shoalon se phulon ke hasin chehre jhulaste hain
jahan kanTe panapte hain wo mera gulistan kyon ho

lab-e-gul par tumhin KHandan mere dil mein tumhin raqsan
ayan ho is qadar jab tum to aankhon se nihan kyon ho

'habib' ab pyar ki wo chandni raaten nahin baqi
to us pahli nazar ki yaad bhi dil mein nihan kyon ho

(562) ووٹ وصول ہوئے

You can read Dayar-e-shauq Mein Mujhko Gham-e-sud-o-ziyan Kyon Ho written by JaiKrishn Chaudhry Habeeb at UrduPoint. Dayar-e-shauq Mein Mujhko Gham-e-sud-o-ziyan Kyon Ho is one of the masterpieces written by JaiKrishn Chaudhry Habeeb. You can also find the complete poetry collection of JaiKrishn Chaudhry Habeeb by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of JaiKrishn Chaudhry Habeeb' above.

Dayar-e-shauq Mein Mujhko Gham-e-sud-o-ziyan Kyon Ho is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dayar-e-shauq Mein Mujhko Gham-e-sud-o-ziyan Kyon Ho, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.