Shikwa Nahin Gila Nahin Rabt Koi Baham Nahin, Urdu Ghazal By JaiKrishn Chaudhry Habeeb

Shikwa Nahin Gila Nahin Rabt Koi Baham Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, JaiKrishn Chaudhry Habeeb. Shikwa Nahin Gila Nahin Rabt Koi Baham Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Shikwa Nahin Gila Nahin Rabt Koi Baham Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

شکوہ نہیں گلہ نہیں ربط کوئی بہم نہیں

جے کرشن چودھری حبیب

شکوہ نہیں گلہ نہیں ربط کوئی بہم نہیں

رسم سلام کیا جہاں پرسش حال غم نہیں

گو کہ نہیں نگاہ میں دل سے نہیں ہو دور تم

دیدۂ دل کے واسطے فاصلہ بیش و کم نہیں

بزم سے آپ کیا گئے رونق بزم لے گئے

اب وہ سرور دل کہاں آپ گئے تو ہم نہیں

آپ کی یاد آ گئی دل پہ خوشی سی چھا گئی

اب مجھے غم سے واسطہ اب مجھے کوئی غم نہیں

پہلا سا وہ کرم کہاں لطف کی وہ نظر کہاں

ہے یہ ستم کی انتہا کوئی نیا ستم نہیں

اس کی نگاہ مست کا اب بھی خمار ہے مگر

ساقیٔ دل نواز کا پہلا سا وہ کرم نہیں

دامن ادھر ہے تار تار رخ پہ نہیں ادھر نقاب

عشق اگر ہے بے وقار حسن کا بھی بھرم نہیں

منزل زندگی نہ پوچھ صرف سفر ہے زندگی

پاؤں اٹھا قدم بڑھا ہوش سنبھال تھم نہیں

دیکھ کر ان کے التفات رہ گئی دل کی دل میں بات

ہوش گیا جو وہ گئے آئے تو دم میں دم نہیں

منتیں شیخ و برہمن کیجئے کس لئے حبیبؔ

دل ہے مری نگاہ میں دیر نہیں حرم نہیں

جے کرشن چودھری حبیب

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Shikwa Nahin Gila Nahin Rabt Koi Baham Nahin

JaiKrishn Chaudhry Habeeb

shikwa nahin gila nahin rabt koi baham nahin
rasm-e-salam kya jahan pursish-e-haal-e-gham nahin

go ki nahin nigah mein dil se nahin ho dur tum
dida-e-dil ke waste fasla besh-o-kam nahin

bazm se aap kya gae raunaq-e-bazm le gae
ab wo surur-e-dil kahan aap gae to hum nahin

aap ki yaad aa gai dil pe KHushi si chha gai
ab mujhe gham se wasta ab mujhe koi gham nahin

pahla sa wo karam kahan lutf ki wo nazar kahan
hai ye sitam ki intiha koi naya sitam nahin

us ki nigah-e-mast ka ab bhi KHumar hai magar
saqi-e-dil-nawaz ka pahla sa wo karam nahin

daman idhar hai tar tar ruKH pe nahin udhar naqab
ishq agar hai be-waqar husn ka bhi bharam nahin

manzil-e-zindagi na puchh sirf safar hai zindagi
panw uTha qadam baDha hosh sambhaal tham nahin

dekh kar un ke iltifat rah gai dil ki dil mein baat
hosh gaya jo wo gae aae to dam mein dam nahin

minnaten shaiKH-o-barahman kijiye kis liye 'habib'
dil hai meri nigah mein dair nahin haram nahin

(480) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Shikwa Nahin Gila Nahin Rabt Koi Baham Nahin written by JaiKrishn Chaudhry Habeeb at UrduPoint. Shikwa Nahin Gila Nahin Rabt Koi Baham Nahin is one of the masterpieces written by JaiKrishn Chaudhry Habeeb. You can also find the complete poetry collection of JaiKrishn Chaudhry Habeeb by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of JaiKrishn Chaudhry Habeeb' above.

Shikwa Nahin Gila Nahin Rabt Koi Baham Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Shikwa Nahin Gila Nahin Rabt Koi Baham Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.