Aadab-e-junun Ahl-e-nazar Bhul Gae Hain, Urdu Ghazal By Jalal Aarif

Aadab-e-junun Ahl-e-nazar Bhul Gae Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Jalal Aarif. Aadab-e-junun Ahl-e-nazar Bhul Gae Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Aadab-e-junun Ahl-e-nazar Bhul Gae Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

آداب جنوں اہل نظر بھول گئے ہیں

جلال عارف

آداب جنوں اہل نظر بھول گئے ہیں

جیتے تو ہیں جینے کا ہنر بھول گئے ہیں

کیا اہل سفر ذوق سفر بھول گئے ہیں

رستے میں ہیں منزل کی خبر بھول گئے ہیں

غم بھول گئے غم کا اثر بھول گئے ہیں

تم کیا ملے ہم خود کو مگر بھول گئے ہیں

ہجرت کے عذابوں میں بسر ایسی ہوئی ہے

اک عمر سے ہم اپنا نگر بھول گئے ہیں

دنیا کے غم اپنوں کے ستم وقت کے تیور

کیا کیا نہ مرے دیدۂ تر بھول گئے ہیں

طوفاں پہ ہی رکھتے ہیں نظر اہل زمانہ

موجوں کی سیاست کو مگر بھول گئے ہیں

وہ گرمیٔ حالات نہ ذہنوں میں وہ ہلچل

کیا حادثے آنا ہی ادھر بھول گئے ہیں

کیا بات تھی قاتل سے جو منسوب ہوئی تھی

مقتل میں جھکائے ہوئے سر بھول گئے ہیں

گلشن کی فضاؤں میں گھٹن آ گئی کتنی

ہنسنے کی ادا تک گل تر بھول گئے ہیں

جو ڈال رہے تھے کبھی سورج پہ کمندیں

وہ لوگ اجالوں کا سفر بھول گئے ہیں

آغاز سفر اپنا کیا ہم نے جہاں سے

ہم رکھ کے وہیں زاد سفر بھول گئے ہیں

تم اگلی شرافت کا سبق پھر سے پڑھانا

اس دور کے انسان اگر بھول گئے ہیں

عارفؔ میں گلہ کس سے کروں بے اثری کا

طالع ہی مرے باب اثر بھول گئے ہیں

جلال عارف

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Aadab-e-junun Ahl-e-nazar Bhul Gae Hain

Jalal Aarif

aadab-e-junun ahl-e-nazar bhul gae hain
jite to hain jine ka hunar bhul gae hain

kya ahl-e-safar zauq-e-safar bhul gae hain
raste mein hain manzil ki KHabar bhul gae hain

gham bhul gae gham ka asar bhul gae hain
tum kya mile hum KHud ko magar bhul gae hain

hijrat ke azabon mein basar aisi hui hai
ek umr se hum apna nagar bhul gae hain

duniya ke gham apnon ke sitam waqt ke tewar
kya kya na mere dida-e-tar bhul gae hain

tufan pe hi rakhte hain nazar ahl-e-zamana
maujon ki siyasat ko magar bhul gae hain

wo garmi-e-haalat na zehnon mein wo halchal
kya hadse aana hi idhar bhul gae hain

kya baat thi qatil se jo mansub hui thi
maqtal mein jhukae hue sar bhul gae hain

gulshan ki fazaon mein ghuTan aa gai kitni
hansne ki ada tak gul-e-tar bhul gae hain

jo Dal rahe the kabhi suraj pe kamanden
wo log ujalon ka safar bhul gae hain

aaghaz-e-safar apna kiya hum ne jahan se
hum rakh ke wahin zad-e-safar bhul gae hain

tum agli sharafat ka sabaq phir se paDhana
is daur ke insan agar bhul gae hain

'arif' main gila kis se karun be-asari ka
talea hi mere bab-e-asar bhul gae hain

(677) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Aadab-e-junun Ahl-e-nazar Bhul Gae Hain written by Jalal Aarif at UrduPoint. Aadab-e-junun Ahl-e-nazar Bhul Gae Hain is one of the masterpieces written by Jalal Aarif. You can also find the complete poetry collection of Jalal Aarif by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Jalal Aarif' above.

Aadab-e-junun Ahl-e-nazar Bhul Gae Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Aadab-e-junun Ahl-e-nazar Bhul Gae Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.