Husul-e-gham Ba-alfaz-e-digar Kuchh Aur Hota Hai, Urdu Ghazal By Jaleel Allahabadi

Husul-e-gham Ba-alfaz-e-digar Kuchh Aur Hota Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Jaleel Allahabadi. Husul-e-gham Ba-alfaz-e-digar Kuchh Aur Hota Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Husul-e-gham Ba-alfaz-e-digar Kuchh Aur Hota Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

حصول غم بہ الفاظ دگر کچھ اور ہوتا ہے

جلیل الہ آبادی

حصول غم بہ الفاظ دگر کچھ اور ہوتا ہے

دل برباد کا عزم سفر کچھ اور ہوتا ہے

طلوع صبح کی کرنیں بہت ہی خوب ہیں لیکن

جمال شہر دل وقت سحر کچھ اور ہوتا ہے

مصائب کس کو کہتے ہیں تمہیں جانو تمہیں سمجھو

جہاں والو ہمارا دل جگر کچھ اور ہوتا ہے

شراب‌ تلخ کیا ہے زہر قاتل تک پیا ہم نے

مگر ان مست نظروں کا اثر کچھ اور ہوتا ہے

مقابل آئنہ کے آئنہ بھی ہم نے دیکھا ہے

گھٹاؤں میں مرا رشک قمر کچھ اور ہوتا ہے

جہاں پابندیاں لازم نہ ہوں سجدہ گزاروں پر

عبادت کے لئے وہ سنگ در کچھ اور ہوتا ہے

جلیلؔ اکثر یہ پایا امتیاز عشق میں ہم نے

ادھر کچھ اور ہوتا ہے ادھر کچھ اور ہوتا ہے

جلیل الہ آبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Husul-e-gham Ba-alfaz-e-digar Kuchh Aur Hota Hai

Jaleel Allahabadi

husul-e-gham ba-alfaz-e-digar kuchh aur hota hai
dil-e-barbaad ka azm-e-safar kuchh aur hota hai

tulu-e-subh ki kirnen bahut hi KHub hain lekin
jamal-e-shahr-e-dil waqt-e-sahar kuchh aur hota hai

masaib kis ko kahte hain tumhin jaano tumhin samjho
jahan walo hamara dil jigar kuchh aur hota hai

sharab-e-talKH kya hai zahr-e-qatil tak piya hum ne
magar in mast nazron ka asar kuchh aur hota hai

muqabil aaine ke aaina bhi hum ne dekha hai
ghaTaon mein mera rashk-e-qamar kuchh aur hota hai

jahan pabandiyan lazim na hon sajda-guzaron par
ibaadat ke liye wo sang-e-dar kuchh aur hota hai

'jalil' aksar ye paya imtiyaz-e-ishq mein hum ne
idhar kuchh aur hota hai udhar kuchh aur hota hai

(438) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Husul-e-gham Ba-alfaz-e-digar Kuchh Aur Hota Hai written by Jaleel Allahabadi at UrduPoint. Husul-e-gham Ba-alfaz-e-digar Kuchh Aur Hota Hai is one of the masterpieces written by Jaleel Allahabadi. You can also find the complete poetry collection of Jaleel Allahabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Jaleel Allahabadi' above.

Husul-e-gham Ba-alfaz-e-digar Kuchh Aur Hota Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Husul-e-gham Ba-alfaz-e-digar Kuchh Aur Hota Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.