Jism Ke KHol Se Niklun To Qaza Ko Dekhun, Urdu Ghazal By Jalil Aali

Jism Ke KHol Se Niklun To Qaza Ko Dekhun is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Jalil Aali. Jism Ke KHol Se Niklun To Qaza Ko Dekhun comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Jism Ke KHol Se Niklun To Qaza Ko Dekhun on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جسم کے خول سے نکلوں تو قضا کو دیکھوں

جلیل عالی

جسم کے خول سے نکلوں تو قضا کو دیکھوں

بت کو رستے سے ہٹاؤں تو خدا کو دیکھوں

ایسا کیا جرم ہوا ہے کہ تڑپتے مرتے

اپنے احساس کی سولی پہ انا کو دیکھوں

بولتی آنکھ کا رس ہنستے ہوئے لفظ کا روپ

بات نظروں کی سنوں یا کہ صدا کو دیکھوں

ان کی قسمت کہ کھلیں روز تمنا کے گلاب

میری تقدیر کہ زخموں کی چتا کو دیکھوں

اس توقع پہ کہ شاید کوئی درویش ملے

غور سے شہر کے ایک ایک گدا کو دیکھوں

مجھ کو تہذیب کے مکتب نے سکھایا ہے یہی

تختیٔ دل نہ پڑھوں رنگ قبا کو دیکھوں

جلیل عالی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jism Ke KHol Se Niklun To Qaza Ko Dekhun

Jalil Aali

jism ke KHol se niklun to qaza ko dekhun
but ko raste se haTaun to KHuda ko dekhun

aisa kya jurm hua hai ki taDapte marte
apne ehsas ki suli pe ana ko dekhun

bolti aankh ka ras hanste hue lafz ka rup
baat nazron ki sunun ya ki sada ko dekhun

in ki qismat ki khilen roz tamanna ke gulab
meri taqdir ki zaKHmon ki chita ko dekhun

is tawaqqo pe ki shayad koi darwesh mile
ghaur se shahar ke ek ek gada ko dekhun

mujh ko tahzib ke maktab ne sikhaya hai yahi
taKHti-e-dil na paDhun rang-e-qaba ko dekhun

(628) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jism Ke KHol Se Niklun To Qaza Ko Dekhun written by Jalil Aali at UrduPoint. Jism Ke KHol Se Niklun To Qaza Ko Dekhun is one of the masterpieces written by Jalil Aali. You can also find the complete poetry collection of Jalil Aali by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Jalil Aali' above.

Jism Ke KHol Se Niklun To Qaza Ko Dekhun is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jism Ke KHol Se Niklun To Qaza Ko Dekhun, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.