Barahman Le Ke Jo Mere Liye Zunnar Aaya, Urdu Ghazal By Jameela Khuda Bakhsh

Barahman Le Ke Jo Mere Liye Zunnar Aaya is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Jameela Khuda Bakhsh. Barahman Le Ke Jo Mere Liye Zunnar Aaya comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Barahman Le Ke Jo Mere Liye Zunnar Aaya on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

برہمن لے کے جو میرے لیے زنار آیا

جمیلہ خدا بخش

برہمن لے کے جو میرے لیے زنار آیا

اس نے سمجھا کہ یہی بت کا خریدار آیا

خود خریدار ہوا حسن بتاں کا وہ کبھی

ہو کے یوسف وہ کبھی بر سر بازار آیا

شوق تھامے تھا کمر اور تمنا بازو

کوئے جاناں میں مرا جب دل بیمار آیا

لالہ رخ کیسا ہے دیکھوں تو ذرا چل کے اسے

کس لیے دل کی عمارت میں نہ وہ یار آیا

روز روشن سی شب تار ہوئی آنکھوں میں

جس گھڑی یاد ترا گیسوئے خم دار آیا

حسرت‌ و یاس و تمنا کے ملے پشتارے

کارواں عشق کا مجھ تک یہ لیے بار آیا

کیا ڈراتا ہے مجھے تیغ دکھا کر قاتل

مقتل عشق میں مرنے کو میں تیار آیا

تلخیٔ مرگ بھی دینے لگی مجھ کو لذت

سر بالیں دم مردن جو مرا یار آیا

میرے دلبر کے تصور نے کیا اس کو حسیں

میں نہ سمجھا یہ قضا آئی کہ وہ یار آیا

کوئی لے جا کے مرے دل کو یہ کہتا اس سے

لے ترے گیسوئے پر خم کا گرفتار آیا

اے جمیلہؔ نہ ملا بت نہ ملا مجھ کو خدا

میں تو اس ہستئ موہوم میں بیکار آیا

جمیلہ خدا بخش

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Barahman Le Ke Jo Mere Liye Zunnar Aaya

Jameela Khuda Bakhsh

barahman le ke jo mere liye zunnar aaya
us ne samjha ki yahi but ka KHaridar aaya

KHud KHaridar hua husn-e-butan ka wo kabhi
ho ke yusuf wo kabhi bar-sar-e-bazar aaya

shauq thame tha kamar aur tamanna bazu
ku-e-jaanan mein mera jab dil-e-bimar aaya

lala-ruKH kaisa hai dekhun to zara chal ke use
kis liye dil ki imarat mein na wo yar aaya

roz-e-raushan si shab-e-tar hui aankhon mein
jis ghaDi yaad tera gesu-e-KHamdar aaya

hasrat-o-yas-o-tamanna ke mile pushtare
karwan ishq ka mujh tak ye liye bar aaya

kya Daraata hai mujhe tegh dikha kar qatil
maqtal-e-ishq mein marne ko main tayyar aaya

talKHi-e-marg bhi dene lagi mujh ko lazzat
sar-e-baalin dam-e-murdan jo mera yar aaya

mere dilbar ke tasawwur ne kiya is ko hasin
main na samjha ye qaza aai ki wo yar aaya

koi le ja ke mere dil ko ye kahta us se
le tere gesu-e-pur-KHam ka giraftar aaya

ai 'jamila' na mila but na mila mujh ko KHuda
main to us hasti-e-mauhum mein be-kar aaya

(381) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Barahman Le Ke Jo Mere Liye Zunnar Aaya written by Jameela Khuda Bakhsh at UrduPoint. Barahman Le Ke Jo Mere Liye Zunnar Aaya is one of the masterpieces written by Jameela Khuda Bakhsh. You can also find the complete poetry collection of Jameela Khuda Bakhsh by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Jameela Khuda Bakhsh' above.

Barahman Le Ke Jo Mere Liye Zunnar Aaya is a widely read Urdu Ghazal. If you like Barahman Le Ke Jo Mere Liye Zunnar Aaya, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.