Mein Aashiq Hun Mujhe Maqtal Mein Apna Nam Karna Hai, Urdu Ghazal By Jameela Khuda Bakhsh

Mein Aashiq Hun Mujhe Maqtal Mein Apna Nam Karna Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Jameela Khuda Bakhsh. Mein Aashiq Hun Mujhe Maqtal Mein Apna Nam Karna Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Mein Aashiq Hun Mujhe Maqtal Mein Apna Nam Karna Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

میں عاشق ہوں مجھے مقتل میں اپنا نام کرنا ہے

جمیلہ خدا بخش

میں عاشق ہوں مجھے مقتل میں اپنا نام کرنا ہے

ڈرے گا خنجر قاتل سے کیا وہ جس کو مرنا ہے

مدد کر عشق صادق جذب کامل مجھ سے محزوں کی

شب غم نالہ کرنا ہے اور اس جی سے گزرنا ہے

نہ پھینکو سنگ خارا پر حفاظت چاہئے اس کی

کہ رکھ کر مرأت دل روبرو تم کو سنورنا ہے

یہ جام دیدۂ حسرت بھروں گا اشک خونی سے

مئے گلگوں تجھے پیر مغاں ساغر میں بھرنا ہے

ٹھہر جا بلبل غمگیں کہاں تک زاری و شیون

کہ مرغ بوستان عشق کو بھی نالہ کرنا ہے

سرشک چشم پر نم کی روانی سے پریشاں ہوں

جنوں کیا دیدۂ حسرت ہمارا کوئی جھرنا ہے

جمیلہؔ صفحۂ مہتاب پر لہرا گئے کالے

ستم ان گیسوؤں کا دوش پر ان کے بکھرنا ہے

جمیلہ خدا بخش

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Mein Aashiq Hun Mujhe Maqtal Mein Apna Nam Karna Hai

Jameela Khuda Bakhsh

mein aashiq hun mujhe maqtal mein apna nam karna hai
Darega KHanjar-e-qatil se kya wo jis ko marna hai

madad kar ishq-e-sadiq jazb-e-kaamil mujh se mahzun ki
shab-e-gham nala karna hai aur is ji se guzarna hai

na phenko sang-e-KHara par hifazat chahiye is ki
ki rakh kar mirat-e-dil ru-ba-ru tum ko sanwarna hai

ye jam-e-dida-e-hasrat bharunga ashk-e-KHuni se
mai-e-gulgun tujhe pir-e-mughan saghar mein bharna hai

Thahar ja bulbul-e-ghamgin kahan tak zari-o-shewan
ki murgh-e-bostan-e-ishq ko bhi nala karna hai

sarishk-e-chashm-e-pur-nam ki rawani se pareshan hun
junun kya dida-e-hasrat hamara koi jharna hai

'jamila' safha-e-mahtab par lahra gae kale
sitam in gesuon ka dosh par un ke bikharna hai

(501) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Mein Aashiq Hun Mujhe Maqtal Mein Apna Nam Karna Hai written by Jameela Khuda Bakhsh at UrduPoint. Mein Aashiq Hun Mujhe Maqtal Mein Apna Nam Karna Hai is one of the masterpieces written by Jameela Khuda Bakhsh. You can also find the complete poetry collection of Jameela Khuda Bakhsh by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Jameela Khuda Bakhsh' above.

Mein Aashiq Hun Mujhe Maqtal Mein Apna Nam Karna Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Mein Aashiq Hun Mujhe Maqtal Mein Apna Nam Karna Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.